Teri saanson ki thakaan, teri nigahon ka sukoot
Dar haqeeqat koi rangeen shararat hi na ho
Main jissay pyar ka andaz samajh baitha hoon
Woh tabbasum, woh takkallum teri aadat hi na ho….!!!
Rakh hausla wo manzar bhi aayega....
Pyase ke paas chal ke samandar bhi aayega..
Thak kar na Beth a manzil k musafir..
Manzil bhi milegi aur milne ka maza bhi aayga.
K.k
Kisi ki dard ko sambhal pana aasan nahi,
Haste hue pal ko sambhal pana aasan nahi,
Zindgi me har koi dil me nahi bas pata,
Aur uss ek base hue ko nikal pana aasan nahi.
Socha yaad na kar k thora tadpaye unko,
kisi aur ka naam ley kar jalayain unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.
Khan
Chand se phul se ya meri zuban se suniye
har taraf aap ka qisa jahan se suniye
sab ko aata hai duniya ko sata kar jina
zindagi kya muhabbat ke dua se suniye
meri aavaz parda mere chehare ka
main hun khamosh jahan mujhako vahan se suniye
kya zaruri hai ki har parda uthaya jaye
mere halat apne apne makan se suniye
Tere aane ke jab khabar mahake
tere khushbu se sara ghar mahake
sham mahake tere tasavvur se
sham ke bad phir sahar mahake
raat bhar sochata raha tujh ko
zahan-o-dil mere raat bhar mahake
yaad aaye to dil munavvar ho
did ho jaye to nazar mahake
wo ghadi do ghadi jahan baithe
wo zamin mahake wo shajar mahake
Humari Yaadon ka silsila banaye rakhna,
Dost kaha h to dosti bhi banaye rakhna,
Jaan to nahi mangi h humne aap se,
Bus jaan jane tak dosti banaye rakhna.
Pyar Ki Chhanv Mein Do Dil Jo Jara Mil Baithe
Bajm Mein Gajle Huyi Sahar Mein Afsane Chale,
Subah Fir Apne Hi Teshe Se Kiran Futhegi
Raat Aayi Kisi Dukhan Ke Mahak Chalein,
Ras Mein Dubi Huyi In Aankhon Ki Jumbish Jaise
May Se Labrej Chhalkate Huye Paimane Chale,
Aakhiri Baar Giribaa Gale Lag Ja Mere
Fir Mahkate Huye Rumalon Ke Najrane Chale…
"सर झुकाओगे तो पत्थर भी देवता हो जायेगा,
इतना ना चाहो उसे, वो बेवफा हो जायेगा.
हम भी दरिया है, हमे अपना हुनर मालूम है,
जिस तरफ चल पडे रास्ता हो जायेगा."
SAMANDAR PEER KE ANDAR HAI LEKIN RO NAHI SAKTA
YE AANSOO PYAR KA MOTI HAI ISS KO KHO NAHI SAKTA
MERI CHAHAT KO TU APNA BANA LENA PAR SUNLE
JO MERA HO NAHI PAYA WO TERA HO NAHI SAKTA.
Najron ko chhipa ke rakhna, Kaatil hai teri nazar. Ek ko to maar diya tumne, Karogi kitnon ko ghayal!! Ghayal karaana Ankhon ki adat nahi hoti hai, Ghayal hone walon ki Neeyat kharab hoti hai.
Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.
Tanha Chor Ker Hum Ko Hosla Bhi Dete Ho
Saans Cheen Ker Jeenay Ki Dua Bhi Dete Ho
Ik Taraf Judai Ka Tazkira Bhi Jari Hai
Aur Muskuranay Ka Mashwara Bhi Detay Ho