Pyasi nigaho ne har pal tumhara deedar maanga
Jaise amavas ne har raat chaand maanga
Rooth gaya wo khuda bhi humse
Jab humne har dua mein tumhara saath maanga.
Agar manzil pana hai to HAUSALA sath rakhna,
Agar pyar pana hai to AITBAR sath rakhna,
Aur agar chaho hamesha muskurana sweet
To sab bhoolkar bas HAMEIN yaad rakhana.
Meri Zindagi K Raaz Main Ek Raaz Tum Bhi Ho
Meri Bandagi Ki Aas Main Ek Aas Tum Bhi Ho
Tum Kya Ho Mere,
Kuch Ho Bhi Ya Kuch Bhi Nahi”
Magar
Meri Zindagi K Kaash Main Ek Kaash Tum Bhi Ho…!
Tere Aane Ka Intzaar Kab
Tak Kare, Dil Se Tujhe Bhulne
Ka Intzaar Kab Tak Kare,
Pehle He Itna Barbaad Kiya
Hai Tune, Humea Ab Aur Barbaad
Hone Ka Intzaar Kab Tak Kare!
Agar Tujhe Khuwaab Kahon To
Tootne Kar Dar Hai.. Dil
Kahon To Diwana Hone Ka Dar
Hai. Sochta Ho Tera Naam
Zindagi Rakh Don.. Maut Aane
Se Pahle Tera Sath Chhot
Ne Ka To Dar Nahi Hoga ..
Sham ke sanvale chehare ko nikhara jaye
kyon na sagar se koi chand ubhara jaye
ras aaya nahi taskin ka sahil koi
phir mujhe pyas ke dariya mein utara jaye
meharaban teri nazar, teri adayen qatil
tujh ko kis naam se ae dost pukara jaye
mujhko dar hai tere wade pe bharosa karake
muft mein ye dil-e-khushafaham na mara jaye
jisake dam se tere din-rat darakhshan the “qateel”
kaise ab us ke bina waqt guzra jaye
Hasi hasi mein kitno ko hasa diya,
Hasi hasi mein kitne gamon ko bhula diya,
Koi is kadar haske gaya ham par,
Ki umar bhar ke liye hasna bhula diya....!!
Rishte Wo Nahi Jo Hum Banaate Hain..
Rishte To Wo Hai Jinhe Waqt Banaata Hai..
Apne Wo Nahi Jinhe Hum Chahte Hain..
Apne To Wo Hain Jo Hume Chahte Hain..!
Aaj fir khuda ne poocha,
Tera hansta hua chehra udas kyon hai?
Barsti nigahon me pyas kyon hai?
Jinki nazro me tu kuch bhi nahi,
wo tere liye khaas kyun hai.