Yaadien aksar hoti hain satane ke liye,
Koi rooth jaata hai phir maan jaane ke liye,
Rishte nibhana koi muskil to nahi,
Bas dilon me pyaar chahiye use nibhane ke liye…
Kabhi Kabhi hamein bhi yaad kar liya karo
hamari tasveer bhi dekh ke choom liya karo
maana ke tumhe kisi cheez ki kami nahin hai
par hamein bhi kabhi apni dua mein shamil kiya karo
Is dil ne apko aaj achanak yaad kiya
khona nahi chahte apko isliya pyar kiya
mere dil ko nikal ke dekho apke liye hi dhadakta hai
warna apse dil lagane ka jarurat kyun kiya.
dil ka aalam kiya hai..
tujhko pata nahi...
meri haalat kiya hai..
tujhko ko pata nahi...
chhup chhup ke
rote hai teri yaad me...
kitne aansu bahte hai,
mujhko bhi pata nahi...
Aapki yaadon ke sahare jee lete hain,
Aapse milne ki khwaish liye jee lete hain,
Jeene ko to jee sakte hain tere bagair hum,
Mile agar aap to mar bhi sakte hain…
फेंका हुआ किसी का,
न छिना हुआ मिले,
मुझे बस मेरे नसिब का
लिखा हुआ मिले ।
ना मिला ये भी तो कुछ
गम नहीं मेरे दोस्त ;
नसीब की ठोकर तो हर
किसी को मिलती है,
मुझे बस मेरी मैहनत का
किया हुआ मिले ।
Jinke Liye Jagte Rahe Hum Saari Raat, Woh So Rahi Hai Aaj Kisi Gair ke Saath, Koi to Jaake Batlaye Usko Yeh Baat Ae_Dost... Ke Hum Kabhi DiL Nahi Laga Payege Aaj Ke Baad. By-Raahi
Kabhi Maa Ko Na Dekhu To Chain Nahi Aata Hai,
Dil Na Jane Kyu Maa Ka Naam Sochte Hi Behel Jata Hai,
Kabhi Muskra De To Lagta Hai Zindgi Mil Gayi Mujhko Nayi,
Kabhi Dukhi Ho To Dil Mera Bhi Dukhi Ho Jata Hai…
sukh aur dukh zindegi ka paheli he.sukh me hasna dukh me rona he. agar zindegi me kavi dukh aaye to use khona nahi,agar na aaye to uske liye rona nahi.
Tere qarib rahun ya ki dur jaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chahun main
main janata hun wo rakhta hai chahaten kitni
magar ye baat use kis tarah bataun main
jo chup raha to samajhega badguman mujhe
bura bhala hi sahi kuch to bol aaun main
phir is ke bad ta’alluq mein fasale honge
mujhe sanbhal ke rakhna bichad na jaun main
muhabbaton ke parakh ka yahi to rasta hai
teri talash mein nikalun tujhe na paun main
har tamashai faqat sahil se manzar dekhata
kon dariya ko ulatata kon gohar dekhata
wo to duniya ko meri divangi khush aa gai
tere hathon mein vagarna pahala pathar dekhata
aankh mein aansu jade the par sada tujh ko na di
is tavaqqo par ki shayad tu palat kar dekhata
meri qismat ke lakiren mere hathon mein na thin
tere mathe par koi mera muqaddar dekhata
zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ke tarah
kis ko itna hausla tha kon jee kar dekhata
dubne vala tha aur sahil pe cheharon ka hujum
pal ke mohalat thi main kis ko aankh bhar ke dekhata
tu bhi dil ko ik lahu ke bund samajha hai ‘faraz’
aankh gar hoti to qatre mein samandar dekhata
Bewafa hai dunia kisi ka aitbaar na karo,
har pal dete hai dhoka kisi se pyar na karo,
mit jao beshaq tanha ji kar,
par kisi ke sath ka intzaar na karo. Hushain2