mere qabu mein na peharon dil-e-nashad aaya
wo mera bhulane vala jo mujhe yaad aaya
dil-e-viran se raqibon ne muraden pain
kam kis kis ke mera khirman-e-barbad aaya
lijiye suniye ab afasana-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
di mu’azzin ne azan vasl ke shab pichale pahar
haye kambakht ko kis waqt khuda yaad aaya
bazm mein un ke sabhi kuch hai magar “dag” nahi
mujh ko wo khana-kharab aj bahut yaad aaya
Mumkin jo
ager hota,
Hum tum ko
bhula detay,
Yadon ko
kafan dey kar
Be-waqt
sula detay,
Tanhai mein
jee letay
tum ko na
sada detay,
Iss dil sey
terey dil tak
dewaar
utha detay,
Mumkin he
nahin warna,
hum tum ko
bhula detay.
Jina chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
marna chate hai magar maut pass nahi aati,
bahut udas si hai zindagi,
unki yaadein bhi tadpaane se baz nahi aati.
Dil Apne Aap Dhadkta Hai,
Dhadkaya Nahi Jata,
Yeh Raaz-E-Mohabbat,
Har Ek Ko Bataya Nahi Jata,
Agar Ehsaas Ho Toh,
Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Ye Woh Jazba Hai Jo Lafzon,
Mein Samjhaya Nahi Jata,
Meri duaa hai ki khush raho tum
Mile naa koi gum jahan bhi raho tum
.
Samundar ki tarha dil hai gehra tumhara
Khushiyon se bhara rahe daman tumhara
.
Tum jo kaho woh har khawaish puri ho tumhari
Khuda se bhi bus yahi dua hai humari
.
Tohfa kya doon tumhe duaao ke siwa
Ki khuda humesha rahe razi tumse sada.
Jabse Tumhe Apna Dilbar Maana
Hai.. Pyar Kya Hota Hai Ye
Aapse Jaana Hai.. Ankho Se
Neend Udi Dil Ka Chain Khoo
Diya.. Aap Hi Aap Ho Mujhe
Samaaye.. Ye Humne Maana Hai..!
Rishton ki bheed mein woh gumnaam reh gaya
Jaane kya kya dilkash sher woh mujhse keh gaya
Aaya na laut kar woh phir kabhi is mod par
Aansu ki tarha aankhon se nikal kar beh gaya!
Ho gayi shaam kisi ke intejar mein,
Dhal gayi raat usi ke intejar mein,
Fir hoga sawera usi ke intejar mein,
Intejar ki aadat pad gayi hai intejar mein…
Wo Chand Hai Pr Apsa Pyara
To Nahi, Parwane Ka Sama K
Bin Gujara To Nahi, Mera Dil
Ne Suna Hai Avi Avi Ek Mithi
Awaz, kahin Aapne Hamein
Pukara To Nahi..!!
Itna Kuch Khokar Bhi Hume Pana Na Aaya,
Pyar Itna Kiya Par Jatana Na Aaya,
Woh To Aa Gaye Is Dil Me,
Kasoor Hmara Hi Tha Jo Hame Unke Dil Se Samaana Na Aaya.
Mujhe Unke Pehlu Mein Aashiyana Na Mila,
Uski Zulfon Ki Chhao Mein Thikana Na Mila,
Keh Diya Usne Bewafa Mujhko Chalte-Chalte,
Jab Jane Ka Ussey Koi Bahana Na Mila...!!!!
Jo Hai Khafaa Humse Use Khafaa Hi Rahne Do..
Gar Manaaoge To Fir Se Rooth Jayega..
Na Khushiyo Ki Daulat Se Bharo Apne Daaman Ko Dosto..
Bada Lootera Hai Zamaana Tumhe Loot Jayega..!