Kabhi Khalwatoon Mein Hansa Dia
Kabhi Mehfiloon Mein Rula Diya
Tujhay Kya Khabar Teri Yaad Ne
Mujhay Kaisay Kaisay Sata Diya
Tujhay Kya Khabar Tere Ishaq Mein
Kabhi Namaz Apni Qaza Hoi
Teri Aarzoo Ne Kabhi Kabhi
Mujhay Mere Rab Say Mila Diya
Zindagi ek Pal hai, Jisme na Aaj hai na kal hai,
Jee lo isko Is tarah, ki jo bhi aapse mile,
wo yahi kahe, Bas yahi uski Zindagi ka sabse Haseen Pal hai.
-
Hindi Shayri.
Apni har saans mein aabad kiya hai tum ko,
aye meri jaan bohat yaad kiya hai tumko,
meri zindagi mein tum nahi to kuch bhi nahi,
apni zindagi se badh kar pyar kiya hai tum ko...!!
Kitna adhura lagta hai tab jab,
badal ho par barish na ho,
jab Zindagi ho par Pyaar na ho,
jab ankhe ho par Khwab na hoo,
aur Jab koi apna ho par Sathna hoo.
Phirta liye chaman mein hai divanapan mujhe
zanjir-e-pa hai mauj-e-nasim-e-chaman mujhe
hun shama ya ki shola khabar kuch nahi magar
fanus ho raha hai mera pairahan mujhe
kuche mein teri kon tha leta bhala khabar
shab chandani ne aake pahanaya kafan mujhe
dikhalata ik ada mein hai sau-sau tarah banav
kis sadapan ke sath, tera bankapan mujhe
aaya hun nur leke main bazm-e-sukhan mein ‘zauq’
aankhon pe sab bithayenge ahal-e-sukhan mujhe
Tere Pyar Me Do Pal Ki Zindgi Bahut Hai,
Ek Pal Ki Hansi Aur Ek Pal Ki Kushi Bahut Hai,
Ye Dunia Mujhe Jane Ya Na Jane,
Teri Ankhe Muje Pehchane Yahi Bahut Hai.
Aati hai aap ki yaad har dum
par aap nahi aate
reh jate hai adhure mere khawab
kyun ki aap unme shamil nahi ho pate
pura kar do mere khawabo ko
kyun ki unke bagair hum nahi so pate…
Jo lehjay barf ho jayen, to woh pighla nahin kartay,
Parinday dar k urr jayen, to woh lota nahin kartayy,
Yaqeen uth jaye to shayu, kabhi wapas nahin aata,
Hawaon ka koi toofan, kaabhi baarish nahin laata,
jo dil aik baar totay to, kabhi woh jurr nahin pata,
usey mein ne hi likha tha, us mein ne yeh likha tha.
barsaat ka mausam hai to kya barsaat na hogi !
tum na aaogi to kya raat na hogi !
tum chali aao tumhen meri mohabbat ki kasam !
tumhen jis baat ka dar hai wo baat na hogi !
Ek Phool Kafi Hai Arthi Ko
Sajane Ke Liye, Hazaron Phool
Kam Hai Dulhan Ko Sajane
Ke Liye, Ek Gam Kafi Hai Is
Dil Ko Rulane Ke Liye.. Hazaron
Khusian Kam Hai Us Gam Ko
Bhulane Ke Liye...
Apke Liye Humare Dil May
Jagah Kuch Khas Hai,
Har Pal Aap Ke Peigam Ki Ane Ki Aas Hai,
Bhejte Rhiye Kuch Bhi Likh K Aap,
Aapke Bheje Hue Har Alfazo Me Mithas Hai..
Saza ka hal sunaye jaza ke baat karen
khuda mila ho jinhen wo khuda ke baat karen
unhen pata bhi chalen aur wo khafa bhi na ho
is ehatiyat se kya maza ke baat karen
hamare ahad ke tahazib mein qaba hi nahi
agar qaba ho to band-e-qaba ke baat karen
har ek daur ka mazahab naya khuda lata
karen to hum bhi magar kis khuda ke baat karen
vafashiyar kai hain koi hasin bhi to ho
chalo phir aj usi bevafa ke baat karen
Jo Baney Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh Hi Mukkar Gaye Hain
Iss Tutay Huwey Dil Ke Sarey
Jazbat Badal Gaye Hain
Na Badlay Kabhi Hum
Na Badlay Hamarey Khayalat
Bas Rona Hain Yehi
Kuch Log Badal Gaye Hain
ummr bhr chaha k ye Asma Hmara hota,
Kash kwahiso ka bi koi kinara hota.
Ye soch kr na roka Us Musafir ko Hmne Sweet,
ki dur hi kyu jaata agr wo Humara hota