pyar kiya usse mene pyar pane ke liye...
usne kiya pyar apna matlab ajmane ke liye...
chod diya usne muje viraniyo me tadpane ke liye...
me fir bhi karta hu usse pyar ,pyar pane ke liye.
Badalte Is Zamane Ne Sab Ko Badal Daala..
Khwaab Aur Khayaalon Ko Bhi Badal Daala..
Par
Us Bewafa Ko Na Badal Saka Mera Pyar Bhi..
Jiske Liye Humne Apne Aap Ko Badal Daala..!
Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda,
zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda,
vaada kiya sitaron ne saath deneka,
subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda..
Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya
hoga
Ye Duniya Tere Khatir Na Thi Shaayad
Ay Chaand Tujhe Yahaan Na Aana Tha
Bekaar Tatolta Raha In Pattharon Ko
Yahaan Mohobbat Ka Phool Na Khil Paana Tha,
Khoobsoorat Chehron Ke Pichhe
Makkariyon Ka Ambaar Dekha,
Insaaniyat,Pyar, Sachaai Jahaan Bikti Hai
Hamne Yahaan Wo Baazaar Dekha,
Apne Se Nazar Aane Waale
Bachpan Saath Bitaane Waale,
Mere Umron Lambe Doston Ki
Dosti Or Eitbaar Dekha,
koi kab tak mahaj soche, koi kab tak mahaj gaaye
ilahi kya ye mumkin hai k kuch aisa bhi ho jaye.
mera mehtaab uski raat ke aagosh me pighale.
me uski neend me jaagu wo mujhme ghul ke so jaye.
1 Bar Jo Gale Lagakar Rone
Diya Hota, Humne Bhi Koi
Pal Mohabbat Ka Ji Liya Hota.
Tut Kar Bikhar Jate Aapki
Kadmo Mein, Apki Saanso Mein
Mera Naam To Ekbar Liya Hota.
Lamho ki ek kitaab hain zindagi,
Saanso aur khyalo ka hissab hai zindagi
Kuch jarurate puri kuch khwaishe aduri
Bas inhi sawalon ka jawab hain zindagi.
Haqikat me na sahi,
par kabhi mere sapno
me utar ke dekh,
un har sapno ko jannat sa khubsurat saaja denge hum.
Jhuta hi sahi par kabhi
I LOVE YOU
to kehke dekh,
tere liye apna jaan bhi kurban kar denge hum.
Kisi ka Dil Hmare Jitna AMIR nahi Hota Koi Aise Hi Kisi Ki Dosti Ka FAKIR nahi Hota. Hum Karte HE Nishana Sidha DIL Par Chuk Jaye Wo Tir HMARA nahi H0TA.
Apni har saans mein aabad kiya hai tum ko,
aye meri jaan bohat yaad kiya hai tumko,
meri zindagi mein tum nahi to kuch bhi nahi,
apni zindagi se badh kar pyar kiya hai tum ko...!!