Ham Apne Dil Ki Dastan
Likh Kar Bhejte Hai,
Aur Wo Sms Samjhkar Delete
Kar Dete Hai, Na Jane
Dil Is Hakikat Se Mukar
Jata Hai, Aur Hum Phir Se
Kuchh Likh Bhejte Hai..
Sahil Par Khade Humne Shaam
Kar Di, Apna Dil Aur Duniya
Tumhare Naam Kar Di, Ye Bhi
Na Socha Kaise Guzregi Zindagi,
Bina Soche Har Khushi Tumhare
Naam Kar Di.!
Lag Ja Gale Ye Raat Fir Na Aayegi..
Kismat Bhi Humko Shayed Fir Na Milaayegi..
Baaki Hai Bas Chand Saanse Is Seene Me..
Rooh Bhi Na Jaane Kaise Tere Bin Reh Payegi..!
aankhen meri talavon se mal jaye to achcha
hai hasrat-e-pa-bos nikal jaye to achcha
jo chashm ke be-nam hon, wo ho kor to bahatar
jo dil ke ho be-dag, wo jal jaye to achcha
furqat mein teri tar-e-nafas sine mein mere
kanta sa khatakata hai, nikal jaye to achcha
wo subah ko aaye to karun baten main do-pahar
aur chahun ke din thoda sa dhal jaye to achcha
dhal jaye jo din bhi to isi tarah karun sham
aur chahun ke gar aj se kal jaye to achcha
jab kal ho to phir wohi karun kal ke tarah se
gar aj ka din bhi yun hi tal jaye to achcha
al-qissa nahi chahata main, jaye wo yan se
dil usaka yahin garache bahal jaye to achcha
Tumhara Nam Likhnay Ki Ijazat Chin Gai Jab Se
Koi B Lafz Likhta Hu To Ankhe Bheeg Jati H
Hazaron Mausmon Ki Hukmarani Hae Meray Dil Par
Main Jab B Tanhha Hon Tou Aankhain Bheeg Jati Hai.
vahashat-e-dil sila-e-abalapai le le
mujh se ya rab mere lafzon ke kamai le le
aql har bar dikhati thi jale hath apne
dil ne har bar kaha aag parai le le
main to us subah-e-darakhshan ko tavangar janun
jo mere shahar se kashkol-e-gadai le le
tu gani hai magar itni hain sharayat meri
ye mohabbat jo hamen ras na aayi le le
apne divan ko galiyon me liye phirta hun
hai koi jo hunar-e-zakhmnumai le le
Jaane kya baat hai usme, jo mujhe kisi aur me
nazar nahi aati.
Kya kashish hai un aankhon me ki mai nazar
hataa nahi paati.
Kya hai jo har pal mujhe hairaan kiya karta hai,
Kya hai jo mai tasaboor se mita nahi paati.
वो अपने मेहंदी वाले हाथ मुझे दिखा कर
रोई,
अब मैं हुँ किसी और की, ये मुझे बता कर
रोई,
पहले कहती थी कि नहीं जी सकती तेरे
बिन,
आज फिर से वो बात दोहरा कर रोई…
कैसे कर लुँ उसकी महोब्बत पे शक यारो…
वो भरी महफिल में मुझे गले लगा कर रोई…
Mera Ehsaas Tere Sanson Ki Zarurat Ho Jayegi.
Tujhe Bhi Ek Din, Mujh JaisiMohabbat Ho Jayegi.
Dhadkane Kar Degi TujhePareshaan Har Shaam
Tere Dil Ko Mere Dil Ki AisiAadat Ho Jayegi
Milengi Meri Yaadien Tujhe Apne Khayaalon Mein
Meri Baatein Teri Neend Ki Har Karwat Ho Jayegi
Har Mulaqat Par Khud Ko Mere Paas Bhul Aaoge
Mera Saath Hi Teri Zindagi Ki Ibadat Ho Jayegi
Tujhe Pane Ki Tamanna Basi Hai Meri Ruh Mein..
Mere Ishq Ki Deewangi, Teri Hasrat Ho Jayegi..
Mujhe Patjhadon Ki Kahaniyan Na Suna-Suna Ke
Udas Kar
Tu Khizaan Ka Phool Hai Muskura, Jo Gujar Gaya
So Gujar Gaya
Ye Safar Bhi Kitna Taveel (Lamba) Hai Yahan
Waqat Kitna Kaleel Hai
Kahan Laut Kar Koi Aayega Jo Gujar Gaya So Gujar
Gaya
Voh Wafayein Thi Ke Jafayein Thi, N Ye Soch Kiski
Khatayein Thi
Voh Tera Hai Usko Gale Laga Jo Gujar Gaya So
Gujar Gaya
Tujhe Aitbar-O-Yakeen Nahi, Nahi Duniya Itni Buri
Nahi
N Malaal Kar Mere Saath Aa Jo Gujar Gaya So
Gujar Gaya
Sms Har Pal Karu To Shararat Hogi,
Har Din Karu To Pareshani Hogi,
Kabhi Bhi Na Karu To Kanjusi Hogi,
Par Dilse Karu To Shayad Apko Khusi Hogi.
Hui Na??
Paise ke bazar me DiL Nahi Milta,
Aur
aaj kal dil k bazar me vishvas nahi
milta,
Patthar Ko Log Isliye Pujte Hai,
Q ki Vishwas K Layak Insan Nahi Milta.....