Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya
Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya
Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham
Manzile ishq mein har mukaam pe rona aaya
Shayari By Heart -
Humko hami se chura liya apne
Haqeeqat se kalpna me la diya apne
Pehle to sirf likhne ka shouk tha mujhe
Ab to lekhak bhi bna diya apne.....
kbi lafz bhul jau,
kbi bat bhool jau,
tujhe is kadar chahu k,
apni zaat bhul jau,
uth k tere pass se main jo chal du,
jate hue khud ko tere pas bhool jau.........!!!
Ye khushbu ye hwa aapke naam kar di.
Mausam ki har ek ada apke naam kar di.
Dil ne chaha aaj kuchh khas TOHFA de apko,
To dil se nikli har dua apke naam kar di..
Meri Aawaz Usay Sunai nahi deti, Ab to door tak koi Umeed bhi Dikhai nahi deti… Ehsas Usay Aur Sab Logon ka hai, Bus meri hi Tanhai Usay Dikhai nahi deti…
Muskurate palko pe sanam chale aate hein,
aap kya jaano kahan se hamare ghum aate hein,
aaj bhi us mod par khade hein,
jaha kisi ne kaha tha ke theron hum abhi aate hein.
Mahobat ek ehsaso ki pavan si kahani hai
Kabhi kabira diwana tha kabhi mira diwani hai
Yaha sab log kehate hai meri ankho me ansu hai
Jo tu samje to moti hai jo na samje to pani hai.
हम प्यार उन्ही से करते है..
अब ये भी जताना छोड़ दिया..
हम उनसे कभी रूठे ही नहीं..
और उसने भी मनाना छोड़ दिया
मरना भी मुश्किल सा होगा जिसके बगैर्
उस शक़्स् ने ख्वाबो में भी आना छोड़ दिया
ऱोना तो हमें आता ही ना था..
अब हमने मुस्कराना भी छोड़ दिया..
सब पूछ्ते है की हम क्यों लिखते नहीं..
हम कैसे कहे की अब हमने अपने ज़ख्मो को..
कागज़ पे सजाना छोड दिया
Badalate waqt ka ik silsila sa lagata hai
ke jab bhi dekho use dusara-sa lagata hai
tumhara husn kisi aadmi ka husn nahi
kisi buzurg ke sachi dua sa lagata hai
teri nigah ko tamiz rang-o-nur kahan
mujhe to khun bhi rang-e-hina sa lagata hai
damag-o-dil hon agar mutmain to chaon hai dhup
thapeda lu ka bhi thandi hawa sa lagata hai
wo chat pe aa gaya betab ho ke aakhir
khuda bhi aj sharik-e-dua sa lagata ha
Zindagi jaise ek saza si ho gayi hai,
gam ke saagar me is kadar kho gayi hai,
tum kar do ek SMS yeh gujarish hai meri,
tumari SMS ki aadat si ho gayi hai.
Kaise kah dun ki mulaqat nahi hoti hai
roz milate hain magar baat nahi hoti hai
aap lillah na dekha karen aaina kabhi
dil ka aa jana badi baat nahi hoti hai
chup ke rota hun teri yaad mein duniya bhar se
kab meri aankh se barsat nahi hoti hai
hal-e-dil puchane wale teri duniya mein kabhi
din to hota hai magar raat nahi hoti hai
jab bhi milate hain to kahate hain kaise ho “shakeel”
is se aage to koi baat nahi hoti hai
Todna toote huwe dil kaa bura
hota hai
Jiska koi nahin, uska to khuda
hota hai
*
Maang kar tumse khushi loon,
mujhe manzoor nahin
Kis kaa maangi huee daulat se
bhala hota hai
*
Log naahaq kisi majboor ko
kehte hain bura
Aadmi achchhe hain, par waqt
bura hota hai
*
Kyun “sweetr” apni tabaahi ka
ye kaisa shikwa
Jitna taqdeer mein likha hai adaa
hota hai