Tumhari aankhein kehti hain hisaar–e zaat se niklo,
Tammana meri ban jaao, shab–e barbaad se niklo.
Kinara thaam lo dil ka, bhula do sab gile-shikwe,
Kabhi sacchi hansi hans do, puraani yaad se niklo.
Khyaal–e yaar accha hai magar jis ne wafa na ki,
Palat kar phir sadaa na do, dar–e fariyaad se niklo.
Aaj ki raat ka pehlu achaanak hum se kehta hai,
Saja lo aankh mein sapne, udaas raat se niklo.
Nahin tum ko ganwara ab humara qarb toh keh do,
Humare qarb ki chhodo tum iss azaab se niklo …!!
Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
Aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,
Agar tere ishq mein mai mar bhi jau ae sanam,
Tum dilse pukar lena hum kafan chod denge !!
Zindagi ne jab chod dia tanha
Maut ne pyar se pehlu me bithaya mujhe
Main vo diya hoon jo mohbbat ne jalaya tha kbi
Gam ki aandhiyon ne jor se bujhaya mujhe…
Itna to zindagi mein kisi ke khalal pade
hansane se ho sukun na rone se kal pade
jis tarah hans raha hun main pi-pi ke ashk-e-gam
yun dusara hanse to kaleja nikal pade
ek tum ke tum ko fikr-e-nasheb-o-faraz hai
ek hum ke chal pade to baharahal chal pade
muddat ke bad us ne jo ke lutf ke nigah
jee khush to ho gaya magar aansu nikal pade
saqi sabhi ko hai gam-e-tashnalabi magar
may hai usi ke naam pe jis ke ubal pade
Gulab Se Poocho (Ask A Rose)
Pooche Har Koi Gulab Se
Kya Mila Tumhe Kaanton Se
Bana Main Phoolon Ka Raja
Kisi Dulhan Ka Sahera
Kahe Gulab Khushi Se
Pooche Har Koi Humse
Kya Mila Tumhe Bewafa Pyar Se
Aashique Kahalaye Lakhoon Mein
Har Ik Ki Tassalyee Payi Humne
Wafa Humne Apni Nihbhaee
Kahe Ye Dil Jamane Se
Diwangi se kam na thi kuch apni justujo
Hum bewafa jahan me wafa dhondte rahey
Mehromiyon k dor me kin hasraton k sath
Hum pathron k dil me khuda dhondte rahey.
Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jisme Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaaden Reh Jati Hai Yaad Karna Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Lekar Guzar Jata Hai!
waqt jasia bhi ho "accha" ya
"bura" badlta zarur hai,
Is liye acche waqt me kush aisa galat mat karo,
Ki bure waqt mein acche log aapka sath chhod de...
Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga;
Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga;
Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din;
Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga!