Mere Her Gunah Ki Saza Usne Payi Hai,
Dard Ki Had Dekho Ke Uski Jaan Pe Ban Aayi Hai,
Hum Gunehgar Kehke Khud Ko Behla Liya Kerte
Hain,
Aur Woh Muskurake Hume Ruladiya Kerte Hain..
Waise Toh Hume Nafrat Hai Apne Bewafai Se,
Lekin Jhutla Nahi Sakte Bewafa Hona Ke Sachayi
Se,
Chhoda Tha Saath Uska Jisko Kehte Hum Apne
Perchayi The,
Diya Woh Jahaan Use Jismein Khushiyan Na
Dekhayi De..
Aisa Bhi Koi Dard Se Behal Kyu Hua,
Ki Ranjo Gham Ke Putle Ko Malal Kyu Hua,
Apne Hi Bojh Se Nahin Tuta Hai Aasman,
Apne Gunahon Ka Nahin Khyal Kyu Hua,
Woh Gaay Charata Tha Jangal Ke Kinaron Par,
Man Moh Lene Wala Hi Gopal Kyu Hua,
Dil Se Nilkalne Wali Baatein Ajib Hoti,
Apna Hi Ilam Ji Ka Janjal Kyu Hua,
Har Aadmi Ka Naseeb Hota Nahi Barabar,
Sabko Saman Karne Fir Bawal Kyu Hua…
Majburi me nahi, agar Dil kare to yad karna,
Duniya se fursat mile to bat krna,
Dua hai zamane ki har khushi pao aap,
Fir bhi ankh bhar aye to hume yad krna
Na Jaane Kis Shakhs Ka Intezaar Hme Aaj Bhi Hai,
Sukoon To Bahot Hai Pr Dil Bekarar Aaj Bhi Hai,
Tumne Hme Nafraton K Siva Kuchh N Diya Lekin,
Hme Tumhare Nafraton Se Pyar Aaj Bhi Hai…
Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,
Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai
Yeh Mana Ke Mohabbat Karna Hai Jurm Magar,
Yeh Jurm Yaaro Baar Baar Karte Hain Hum,
Woh Bewafa Hai Sangdil Hain Jaante Hai Magar,
Unpar Yaaro Aaj Bhi Aitbaar Karte Hain Hum…
Aap Toh Chalo Jaaoge Magar Kaise Jiyenge Hum,
Aapki Judai Ka Jahar Kaise Piyenge Hum,
Aap Bhale Hi Bhula Dena Apne Sagar Ko Magar,
Na Bhule Se Bhi Kabhi Apne Gham Siyenge Hum….
Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir...ii
Badi koshis ke baad usse bhula diya,
Uski yaadon ko sine se mita diya,
Ek din fir uska paigaam aaya likha tha mujhe bhul jao,
Or mujhe her lamha yaad dila diya...
Roshani kar na sake dil bhee jalaaya humne
Ay khuda chun ke mukaddar apana paya humne
Tapate dil ko kisi aur bhee mil paayee na raahat
Saawan aankhon se bhee ek umr bahaaya humne.
Kabhi Yaad Aao To Iss Terha !!!
Ke Dil-O-Nazar Mein Sama Sako
Kabhi Khul Sako Shab-E-Visel Mein
Kabhi Khoon-E-Dil Mein Sanwar Sako
Kabhi Had Se Jab Yeh Junoon Berhay
To Hawas Bun Ke Bikher Sako
Sir-E-Rahguzar Jo Milo Kabhi
Na Teher Sako Na Guzer Sako
Mera Dard Phir Se Ghazal Banay
Mere liye kafan laya ja rah tha mujhe fir nehlaya ja rah tha maa kad rahi thi mere bal to apna bachpan mujhe yaad aa rah tha fir socha kiu ki mene mohabbat us bewafa se jo mujhe aaj apni maa se dur me ja rah tha
mil mil ke bichadne ka maza kyu nahi dete?
har baar koi zakhm naya kyu nahi dete..?
hai jaan se pyara mujhe ye dard-e-muhabat,
kab maine kaha tumse dawa kyu nahi dete..
gar apna samjhte ho to phir dil me jagah do,
hoo gair to mehfil se utha kyu nahi dete..?