Aaj hum roye tanha unko bhulane ke liye,
tmaam yaad hai unki hume rulane ke liye,
unki yaadon ko mitane ka jariya na mila,
humne khud ko mitaya unki yaadon ko mitane ke liye,,,,,,
Kabhi Laga Wo Mujhe Sata Rahee Hai,
Kabhi Laga Ke Wo Karib Aa Rahee Hai,
Kuch Log Hote Hain Ansuon Ki Tarah Hi,
Pata Hi Nahi Lagta Sath De Rahee Hai,
Ya Chhod Kar Ja Rahee Hai !!
Yeh Mana Ke Mohabbat Karna Hai Jurm Magar,
Yeh Jurm Yaaro Baar Baar Karte Hain Hum,
Woh Bewafa Hai Sangdil Hain Jaante Hai Magar,
Unpar Yaaro Aaj Bhi Aitbaar Karte Hain Hum…
Unko Apne Haal Ka Hisaab Kya Dete
Sawaal Saare Galat The Hum Jawaab Kya Dete
Wo To Teen Lafzon Ki Hifazat Bhi Na Kar Sake
Fir Unke Hath Me Zindagi Ki Puri Kitaab Kya Dete.
zikr unka hi aata hai fsane main,
jinko jaan se jyada chaha humne jamane me,
tanhaai main unki hi yaado ka sahara mila,
nakaamyab rhe jinko aqsar bhulane main.
Bhar Aayi Meri Aankhein Jab Uska Naam Aaya,
Ishq Naakam Sahi Fir Bhi Bahut Kaam Aaya,
Humne Mohabbat Mein Aisi Bhi Guzaari Raate,
Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko Na Aaraam Aaya…