Jab Maalum Hai Tujhko Ki Yeh Tere Apne Bhi Matlabi Hain,
Toh Fir Bata Kyu Tu Inse Dil Apna Lagata Hai,
Jab Auron Ke Dil Mein Nahi Hota Tere Liye Dard Kabhi,
Fir Sagar Tu Kyu Auron Ke Liye Apna Dil Tadpata Hai….
Q Mashoom Zindgi Uske Liye Barbad Karta Hai.
Jo Tere Maatam Pe Bhi Samil Nahi Hoga.
Jise Tu Jeete ji Nahi Paa Sakaa.
Wo Marne Ke Bad Tujhe Haasil Kya Hoga.
Hamne Toh Apni Mohabbat Ka Ijhaar Kiya,
Magar Usne Fir Bhi Na Hamara Eitbaar Kiya,
Sagat Toh Jahan Se Lada, Ek Uski Khatir,
Us Bewafa Ne Sikwa Fir Bhi Hazaar Kiya…
Bewafa Hai Duniya Kisi Ka Aitebar Na Karo;
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo;
Mit Jao Beshak Tanha Jee Kar;
Par Kisi K Sath Ka Intezar Na Karo..
सोच में उनके...
सोच में उनके ईमान हो;
तब तो कोई समाधान हो;
कोई ज़रिया दिखाई तो दे;
कोई मुश्किल तो आसान हो;
हद है तेरे लिए ज़िंदगी;
कोई कितना परेशान हो;
और कुछ हो ना हो आदमी;
आदमी एक इंसान हो;
उसको फिर और क्या चाहिए;
दिल में जीने का अरमान हो!
Har zakhm ko seene mein liye firte hai
Har dard dil mein diye banke jalte hai
Har alfaz mein gum ka andhera hai
Aur raat ke baad bhi na yaha savera hai
Yaad Mein Teri Kaise Din Gujaare Hain,
Puchho Na Hamse Aalam Woh Judai Ka,
Kaanto Ki Tarah Chubhta Raha Woh Lamha,
Ro-Rokar Gujara Hai Raasta Har Tanhai Ka….
Aandhiyon Ke Sath Kya Manjar Suhane Aaye Hain
Aaj Maidano Mein Bagon Ke Khajane Aaye Hain,
Ab Mere Talve Ke Niche Ki Jamee Aajad Hai
Aasmano Se Mujhe Badal Bulane Aaye Hain,
Ret Se Dariya Ante Hain Kahak Se Jhilein Pati
Yeh Parinde Khoon Mein Shayad Nahane Aaye Hain,
Tere hothon ki hasi banane ka khwaab hai…
Teri aaghosh me simat jane ka khwab hai…
Tu lakh bachale daaman ishq ke haathon…
Aasmaa bankar tujh per chhaane ka khwab hai…
Aazmaish yun to acchi nahi hoti ishq ki…
Tu chahe to teri takdeer banane ka khwab hai…
Wo Maut bhi laut jaye tere darwaze pe aake…
Tujhko aisi zindagi dene ka khwab hai…
Jee bhi lenge agar jeena pare tere bina,
Lekin tujh per mar mitne ka khwab hai…!!!
--------------------------------
Bhid Me Koi Apna Sa Hum Dhundte Hain
Jaise Tapti Dhup Me Shabnam Hum Dhundte Hain
Deewangi Mein Aksar Unhe Dhundte Hain
Hosh Me Aakar Unhe Kam Dhundte Hain
Ab Tak Jo Muskurahat Sikhata Raha
Usi Ke Hontho Pe Tabbasum Ab Ham Dhundte Hain
Odh Rakha Hai Chehre Pe Hamne Khushiyo Ka Saya
Dhundne Wale Chehre Pe Maatam Dhundte Hain
Ek Wo Hai Jinhe Ghere Baithi Hain Khushiyan Sari
Aur Ek Hum Hai Jinhe Jamaane Ke Saare Gum Dhundte Hain…
Dard ki mehfil me ek sher hum bhi aarz kiya karte
hai..
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte
hai..
kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai…….
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte
haiiii
Tujhe bhoolna bhi chahoon to bhulaoon kaise..
Teri yaad se apna daaman chhudaoon kaise..
Meri har khushi, har muskaan mohtaaz hai teri..
Tujhko iska ehsaas dilaoon kaise..
Badal ke meri Zindagaani, tu mujhse juda jaye..
Tujhe kho dene ki kasak dil se mitaoon kaise..!!
Dard Tha Dil Me Par Kavi
Dikhaya Nahi, Aansu The
Aankho Me Par Kavi Roya
Nahi, Yahi Fark Hai Dosti
Aur Pyar Me, Ishq Ne Kavi
Hasaya Nahi Aur Doston
Ne Kavi Rulaya Nahi...
Na Wakt Hai Itna Ki Use Bhula DiyaJaye Jaye
Na Tarkib Koi Ki Usse Mulakat HoJaye.
Na Jane Kaun Sa Dard Diya Hai IsPyar Ne
Na Roya Jaye
Aur Na Soya Jaye.