Teri tarha malal mujhay bhi nahi raha
jaa ab tera khayal mujhay bhi nahi raha
tu ne bhi mosmon ki pazeerai chorr di
ab shauq e mah e visaal mujhay bhi nahi raha
mera jawab kia tha tujhay bhi khabar nahi
yaad ab tera sawal mujhay bhi nahi raha
jis baat ka khayaal na tu ne kabhi kia
us baat ka khiyal...iii
Kitne karib aake daga de gaya mujhe
main bujh raha tha koi hawa de gaya mujhe
usne bhi khakh dal di s.u. ki kabr par
wo bhi mohabbato ka sila de gaya mujhe
Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna.
Jub b barish ho mera soog manate rehna.
Tum gay ho to sari shaam ye adat tehri.
Bus kinare pe khare hath hilate rehna.
Jane is dil ko ye adab kahan se aaye.
Us ki rahoo me nigahoo ko bichate rehna.
1 modat se ye maamool howa hai ab to.
Aap hi roothna aap hi manate rehna.
Tum ko maaloom he Saqi, ye pagal pan he.
Door jate howe logoo ko bulate rehna.
Aashiyane ki baat karate ho,
Dil jalane ki baat karate ho,
Saari duniya ke ranj-o-gam de kar,
Muskurane ki baat karate ho.
Hum ko apni khabar nahin yaaron,
Tum zamane ki baat karate ho,
Zikrr mera suna to chidh ke kaha,
Kis diwane ki baat karate ho.
Hadasaa tha guzar gaya hoga,
Kis ke jaane ki baat karate ho.
kaun kehta hai....
Ladki hasi to Fasi ??
Arz kia hai...
Muskurana to har ladki ki ada hai
wah- wah!
Use jo Mohabbat samjhe wo sabse bada Gadha hai
hahahahaha
Gum ki mujh par kuch aisi najar ho gayi
Jab bhi hum hase ye aankhe nam ho gayi
Hum roye bhi toh wo jaan naa sake…aur
Wo udas b huye to hume khabar ho gayi
Kaash Koi Aisa Aaina Hota Jisme Hoti Pehchan Bewafa Ki,
To Na Hi Dil Toot’ta Kisi Ka Na Hi Koi Tanha Hota,
Waqt Ke Saath Saath Kaash Woh Zakhm Bhi Bhar Jata,
Jinka Is Zamane Me Koi Marham Nahi Hota,
Na Yaad Aati Wo Bhuli – Bhusri Baatein,
Na Hi Shaam Dhale Koi Lekar Sahara Andhero Ka Rota,
Mein Aansu Kyu Bahaon Kaushal Jo Chhod Gaya Mujhe,
Zindagi Bhar Ka To Koi Kisi Ka Sahara Nahi Hota…
⊗↬"Tum" *छा गये 卄0:point_right:????:thought_balloon::thought_balloon:....कोहरे की तरह मेरे चारो तरफ....:heartbeat:...*न कोई दूसरा:heart::kissing_heart:#दिखता है* ...:kissing_heart::kissing_heart:...ना* *देखने की चाहत है.*