I am sure it is a great mistake always to
know enough to go in when it rains. One
may keep snug and dry by such knowledge,
but one misses a world of loveliness.
barsat mein ham pani ban k baras jainge..
.
patjhar mein ham phol ban k jhar jainge..
.
kia hua jo aaj aap ko tang karte hain..
.
ek din aap ko bin bataye hi chalay jainge.
Baarish ki bunde deewana banaye,
tan ko bhigoye mann ki aag bhadkaye,
aaj jai sajan dur humare waqt ki baat hai,
par dil ko hum kaise samjhaye.
Labon par aye woh naam ho tera,
bheju jo woh paigaam ho tera,
aankhein jo dekhe woh khawab ho tera,
dhadkan kare jiska intezar woh intezar ho tera
Ab ke sawan main paani barsa bahut
Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut
Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut
Aaj to bohot khush hoongay aap?
.
.
.
.
.
.
.
Kiyon k, barish jo ho rahi hai
.
.
.
.
.
aur barish main to
.
.
.
.
.
.
.
sab hi maindak khush hotay hain
in barisho se adab-e-mohobbat seekho faraz,
agar ye ruth b jayen to barasti bohot hain,
barasti to hain garaz k sath,
magar tanhai me tarsati bahut hain...
Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray Thay
Kal Un Pe Aap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kalay Gehray Thay
Kal Chand Pay Lakhon Pahray Thay
Kuch Tukray Aap Ki Yaad Kay
Bari Dair Say Dil Main Thehray Thay
Kal Yaadain Uljhi Uljhi Thin
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Thin
Kal Yaad Bohut Tum Aye Thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY