Bewafa Hai Duniya Kisi Ka Aitbaar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo,
Mit Jao Beshaq Tanha Jee Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka Intezaar Na Karo.
Yaaro Tum Aana Mere Janaze Pe Use Saath Lekar,
Meri Maut Main Ek Haseen Baat Hogi,
Mere Jism Main Jaan Beshak Na Hogi,
Par Meri Jaan Mere Jism Ke Paas To Hogi.
Palko Mai Aansu Aur Dil Mai Dard Soya Hai,
Hasne Walo Ko Kya Pata Rone Wala Kis Kadar Roya Hai,
Ye To Bas Wo Hi Jan Sakta Hai Meri Tanhai Ka Alam,
Jisne Zindgi Mai Kisi Ko Pane Se Pehle Khoya Hai.
Zindagi Ab Jo Bhi Ho Anjaam Dekh Lenge,
Khusiya Ki Subh Dekh Li, Ab Sham Dekh Lenge,
Tumse Bahut Nibha Liya Ab Jaa Raha Hu,
Waqt Aayega To Hum Maut Ka Inaam Dekh Lenge.
teri aankhon se kaash koi ishara to hota,
kuch to meri jaan jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har ek rasam zamane ki,
tune ek baar mohabbat se pukara to hota
Aaj Fir Wo Izhar Karke Inkar Kar Gaye
Fir Khamosh Nazron Se Var Kar Gaye
Jab Poochi Mehfil Main Dil Todne Ki Wajah
Majboori Ka Aasra Dekar Sharmsar Kar Gaye
Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha.
Itni Bedardi Se Dil Ko Mere Voh Tod Degi
Yeh Maloom Na Tha Mujhe Akela Voh Chhor Degi
Aey Mere Masoom Dil Tu Tanhai Se Pyar Kar Le
Bewafa Bhi Ab Wafa Ka Saath Chhor Degi
सब कुछ है मेरे पास बस दिल
की दवा नहीं;
दूर वो मुझसे है पर मैं उस से खफा नहीं;
मालूम है अब भी प्यार करता हैं
वो मुझसे;
वो थोडा सा जिद्दी है लेकिन
बेवफा नहीं।