Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya
मैं रहा ना मैं तुम रहे न तुम,
क्यूँ हुए अलग गर बेवफ़ा नहीं हम.
है रीत वही, है हर मौसम भी वही ,
क्यूँ रहे ना वो लोग ना रहे वो सनम .
मैं हो रहा बर्बाद ये तकदीर मेरी है,
तू मुझे ना सोचना तुझको मेरी कसम.
लैला मजनूं, हीर राँझा नसीब की बातें हैं,
तुझे मिली डोली मुझे मिला जाम,
मयखाने में आ गए हम, ऐ साकी,
वो मेय पिला वफ़ा हो जिसका नाम.
Is diL mein Dard, na jane kitna hai
Us bewafa se mujhe pyar, na jane kitna hai
Mar chuke hain, khuli reh gayi ankhen
Humari in ankhon ko, intzaar na jane Kiska hai.
Tu Kya Jaane Aasman Ko Chune Ki Tammana Kya Hoti Hai
Tu Kya Jaane Tujh Se Pyaar Karne Ki Sazaa Kya Hoti Hai
Arey Tu Kiya Jaane Samander Ki Gehrayion Mein Kya Hota Hai
Jo Mehsos Hota Hai Wo Dard Mujhe Tere Pyaar Mein Mila Hai
Arey Pyaar Mein Tere O Sanam-E-Bewafa Naa Jaane
Kitno Ka Lahoo Bhi Baha Hai
Aaj Wo Apne Ho Kar Bhi Begane Lage,
Jaise Hawa Ke Thande Jhonke Hume Jalane Lage,
Meri Ek Aah Pee Girte The Jinke Aansu Hazaro,
Aaj Woh Mere Zakhmo Pe Muskarane Lage.
Mere Janaze Par Aane Walon Ko Shukriya,
Mujhe Bewafa Kehne Walon Ka Shukriya,
Mar Jata Benam Hi Chala Jata Nakam Hi,
Mere Maut Ke Bad Mujhe Zinda Rakhne Walon Ka Shukriya,
Pure Sharir Par Mitti Ki Chadar Odh Rakhi Hai,
Dekne Wale Bhi Hairan Hote Hain Ki Chere, Ki Jagah Kyun Khali Chod Rakhi Hai,
Meri Kabar Par Phul Chadane Wale Jo Ghunghat Odh Kar Aaye Hain,
Dhyan Se Dekh Tere Hi Didar Ke Liye Abhi Tak Aankhen Khol Rakhi Hai.
Bewafa Hai Dunia Kisi
Ka Aitbaar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhoka
Kisi Se Pyarna Karo, Mit
Jao Beshaq Tanha Ji Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka
Intzaar Na Karo.
Bewafai Unhone Ki, Saja Hume Mili,
Pyar Humne Kiya, Gunah Unse Hua,
Chot Usse Lagi To Dard Mujhe Hua,
Jhkam To Uske Bhar Gye,
Par Nissan Mere Baaki Reh Gaye.
Kalam Chalti Hai To Dil Ki Aawaz Likhta Hu,
Gham Aur Judai Ke Andaz-E-Baya Likhta Hu,
Rukte Nahi Hai Meri Aankhon Se Aansu Kabhi,
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Shayari Likhta Hu.
Ye Zakham Mere Paas Tere Pyar Ki Nishani H,
Bhool Kar Bhi In Par Na Marham Lagana Tum,
Jab Kabhi Tum Tanha Ho Aur Meri Yaad Satati Ho,
Bewafa Hoon Main Yahi Apne Dil Ko Samjhana Tum.
Hota Gham Unhe Kaise Hamari Ruswayi Ka,
Jab Farq Pada Hi Nahi Unhe Hamse Judai Ka,
Khamoshi Se Seh Liya Hamne Jab Har Gham,
To Ilzaam Laga Diya Hum Par Bhi Bewafai Ka.
Pal Pal Uska Saath Nibhate The Hum,
Ek Ishare Par Duniya Chor Jaate Hum,
Samunder Ke Beech Mein Pahunch Kar Fareb Kiya Usne,
Wo Kehta To Kinare Par Hi Doob Jaate Hum.