Tumne Jo Meri Kabar Par, Aakar Yun Muskura Diya
Bijli Chamak Kar Gir Padi, Sara Kafan Jala Diya,
Main So Raha Tha Chain Se, Yun Hi Kafan-E-Mazaar Mein,
Yahan Bhi Sataane Aa Gaye, Kisne Pata Bata Diya,
Tumne Chadhaye Phool To, Ehsaan Kya Kiya,
Humne Tumhare Ishq Mein, Sara Chaman Luta Diya,
Pucha Na Jeete Ji Kabhi, Dard E Dil Ka Haal,
Aaye Ho Kabar Par Meri, Mitti Mein Jab Mila Diya,
Aaye Ho Mazaar Par Mere, Dekh Liya Ab Mera Haal,
Thukra Ke Mere Pyar Ko, Kisi Aur Ko Apna Bana Diya.
Ab Ho Gaya Hai Ilm Tumhein, Ek Shikayat Meri Jaan Lo,
Kiya Jo Hashar Tumne Mera, Apno Ko Begana Bana Diya,
Main To Kafan Mein Hoon Ab, Meri Baat Aur Hai,
Karna Na Unka Haal Wo Ab, Jo Haal Mera Tumne Bana Diya.
Na Jaane Kyu Apno Ne Humse Mooh Mod Liya,
Kis Tarah Hamse Fir Rishta Tod Liya,
Kya Itna Dil Dukha Diya Maine Aapka,
Jo Dheere Dheere Mujhko Aapne Yaad Karna Chod Diya..
Kaha Koi Aisa Mila Jispe Dil Luta Dete,
Har Ek Ne Dhoka Diya Kis-Kisko Bhula Dete,
Apne Dil Ka Dard Dil Hi Mein Dabaye Rakhe Hai,
Karte Bayan To Mehfil Ko Rula Dete.
Deyar-E-Gheer Mein Kaisay Tujhey Sada Deetaye
Tu Mel Bhi Jata Tu Akhir Tujhey Gawa Deetay
Tum Hi Nay Hum Ko Sunaya Na Appna Dukh Warna
Dua Woh Kartey Kay Hum Asman Hila Deetay
मुद्दत से तमन्ना हुई अफसाना न मिला ……
हम खोजते रहे मगर ठिकाना न मिला …………..
लो आज फिर चली गई जिंदगी नजरो के सामने से ……
और उसे कोई रुकने का बहाना न मिला
Mohabbat Karne Wale Aankhon Ki Baat Samajh Lete Hain,
Sapne Me Mil Jaaye To Mulaqat Samajh Lete Hain,
Rota To Aasman Bhi Hai Apne Bichde Yaar Ke Liye,
Par Log Apni Khushi Ki Khatir Use Barsat Samajh Lete Hain.
Darr Nahi Lagta Mujhe Ab Har Jane Se,
Haroge Tum Ab Mere Door Jaane Se,
Aaj Paas Hoon To Qadar Nahi Hai Tumko,
Yaqeen Karo Toot Jaoge Ab Tum Mere Chale Jaane Se.
Dil Ki Dhadkno Ko Ek Lamha Sabar Nahi,
Shayad Ki Usko Ab Meri Kadar Nahi,
Har Safar Mein Mera Kabhi Humsafar Tha Wo,
Ab Safar To Hai Magar Wo Humsafar Nahi.
Woh Toh Apne Dard Ko Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Humari Tanhaion Se Aankh Churate Rahe,
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila,
Kyoki Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe.
Tanhai jab muqadar main likhi hay..!
To kya shikayat apnay or bayganay
Say...!
Hum Mit gay Jin ki Cahat main SWEE2....!
Woh phir b baaz Nhin
aatay humain aazmanay say...!
Tumhe’n Chahne Ki Saza Hamne Paayi,
Tumse Dil Lagane Ki Daga Hamne Khayi,
Agar Karni Thi Humse Yun Hi Bewafai,
To Fir Kyun Iss Dil Mein Apni Jagah Banayi.
Ek Nazar Bhi Dekhna Gawara Nahi Usse,
Zara Bhi Ehsaas Hamara Nahi Usse,
Wo Sahil Se Dekhta Raha Doobne Ka Manzar,
Hum Bhi Khuddar The Ke Pukara Nahi Usse.