nigahen milakar kiya dil ko jakhmi, adayen dikha kar sitam dha rahe ho, wafaon ka kya khoob badla diya hai, tadapta hua chhod kar jaa rahe ho. @.P.V.G.@
‘ Hijr Mosam me Ye Baarish ka Barasna kesa,
‘ Ek Sehra Se Samandar ka Guzrna kesa?
‘ Ai Mere Dil na Preshan ho Tanha ho ker,
‘ Wo Tere sath Chala kab tha’ Bichhrna kesa?
‘ Log kehte han Gulshan ki Tabahi dekho,
‘ Mein to Veeran Sa Jungal tha Ujarna kesa?
‘ Dekhne me to koi Dard nhi’ Dukh bhi nhi,
‘ Phir Ye Aankhon me Yun Ashkon ka Ubharna kesa?
‘ Bewafa kehne ki Jurrat bhi na krna UsS ko,
‘ UsS ne Iqrar kiya kab tha’ Mukarna kesa??
Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab Hu
Sawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab Hu
Jo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”
Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab Hu
Duniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha As
Sabse Nashili Aur Badnaam Sharaab Hu
Sar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab Hu
Dil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu
yon dil se dil ko juda na kijiye...zara soch samjh kar faisla kijiye....agar ji sakti hain aap shaban ke bina..,te beshaq sahaban ke maut ki duaa kijiye...shaban 4 u .?
Hame izhar karna nahi aaya unhe pyar karna nahi aaya
ham bas dekhte hi rah gaye
aur wakt ko thamna nahi aaya
woh chalte chalte itni door chale gaye aur hame rokna nahi aaya
Ban jau tumsa tumhe to kesa lage ga.
Har pal me rahu tum se khafa to kesa lage ga.
Tum pyar me khud ko bhi mitaane pe ho raazi.
Ban jaye agar pyar saza to kesa lage ga.
Khud se bhi zyada ho yaqeen tum ko kisi par.
Wo shakhs hi de jaye dagha to kesa lage ga.......
Mera din teri raat se achha hoga,
Mera rona teri sogat se achha hoga.
Yakeen na aaye to apni doli se aaker dekh lena,
Mera jnaja teri doli se achha hoga.
ye mera dil is dil ki halat kaise batauntumhe........
ye dil ab dil na raha di ki awaz kaise sunaun tumhe..........
kishi ke mohabat main thukraya gaya hai ye......
ye dil mein jo dard hai kaise dekhaun tumhe......
Jis Se Maine Mohabbat Ki,
Wo Mohabbat Thi Kisi Aur Ki,
Dharkan Mere Dil Ki,
Aur Sansen Kisi Aur Ki,
Badal Gai Ye Duniya,
Wo Duniya Hi Kuch Aur Thi,
Wo Bas Ik Sapna Tha,
Meri Haqeeqat Thi Kisi Aur Ki,
Suno Mere Dosto Ye Faryad Mere Dil Ki,
Maine Hamesha Uski Parwah Ki,
Magar Usko Parwah Thi Kisi Aur Ki..;;-))
Geele Kagaz Ki Tarah Hai Zindagi Apni,
Koi Jalata Bhi Nahi Aur Bahata Bhi Nahi,
Is Kadar Akele Hai Raaho Me Dil Ki,
Koi Stata Bhi Nahi Aur Koi Mnata Bhi Nahi...PB