Sapna Ek lekin mushkile hazar hain,
Tanhayie aur gum to mere bachpan ke yaar hain,
ab to yeh dil maut ke liye bhi taiyaar hain sweet
q ki is zindagi mein hume sirf bewafaon se pyaar hain!!!
amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost
ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost
khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost
ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost
chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost
Achhi ladki par aitbar ho jati hai
andekhi anjani ladki se pyar ho jati hai
jab de jati hain wahi ladki dhoka to
bewfa shayariyo se dilochar ho jati hai
Mohabbat shoq se hoti hai, iraadon se nahin.
Dosti insaan se hoti hai, pattaron se nahin.
Agar gila ho koi dil may to mita dena,
Giley apno se kiye jaatey hain, ghairon se nahin
Ye Chubhan Akaile pan ki
Ye lagan udas Shab se,
Main hawa se larr raha hoon
Tujhe kya bataun kab se,,
Ye sehr ki Sazishen theen,
K ye inteqaam-e-shab tha,
Mujhe zindagi ka sooraj
Na bacha saka Ghazab se,
Tere naam se shafa ho!
Koi zakham wo ataa kar,
Mere nama-bar! Mile to,
Usy kehna ye adab se,
Wo jawaan ruton ki shaamein,
Kahan kho gai hain ,,,!
Main to bujh k Reh gaya hon
Wo bichar gaya hai jab se,,
Unkho yaad karne ka hisaab na aaya..meri kisi b sawal ka zawab na aaya...ik ham hi the jo sn na sake raat raat bhar.....aur us bewafa ko raat raat so kar b mera khayal na aaya.s.k.?
Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka
Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka
Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera
Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka
Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha
Tumhain Khabar Hee Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka
TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai
Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka
“Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun
Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka
…
Teri hi yaadon mein main apna naam bhool jata hoon,
Milna tha kis ko, sabhi main kaam bhool jata hoon,
Barri mushkil si hoti hai wapis hosh main aney ko,
Kab sona kab jagna, subah se shaam bhool jata hoon..
Mujhe kisi Ne Puchha Cigrat kyn pite ho
Wajah kya h
.
Kya ye Pyaas bujhati h
.
Me Muskuraya Aur kaha Nahi
Dil Me kisi Bewafa ki Tasveer h dhire dhire use Jalati h —
Na Meri Koi Manzil Hai Na Kinara,
Tanhai Meri Mehfil Or Yaden Mera Sahara,
Tum Se Bichhar Ke Kuch Yun Waqt Guzara,
Kabhi Zindagi Ko Tarsy Kabhi Mout Ko Pukara.
Teri bewafaai mein dil bekaraar hi na karoon,
Tu hukm de to tera intezaar hi na karoon,
Tu bewafa hai to kuch iss kadar bewafaai kar,
Ke tere baad main kisi aur se pyaar hi na karoon