Ae khuda mujhe fir se iss jahaan me
lana,
mera pyar mujhe todhe wo phool
bnana,
ya bna dena mujhe uske kamre ka
chiraag,
k naseeb ho unke ujaale k liye jal
jana,
agar na bna ske mujh ko wo chirag ya
phool,
to bna dena uss raste ki dhool,
k jis raste se ho un ka aana jana...
Meri chahat ki bohat lambi saza do mujhko
Karb e tanhai mein jeeney ki dua do mujheko
fun tumhara tou kisi aur se mansooh howa
koi meri hi ghazal hi akar suna do mujhko
Haal behaal hai, tareek hai mustakbil bhi
Ban pare tum se tou maazi mera la do mujhko
Akhri shama hoon mein bazm e wafa ko logo
Chahey jalne dou mujhe chahe bujha do mujhko
Khud ko rakh ko mein kahin bhool gayi hon shayed
Tum meri zaat se aik bar mila do mujh ko..
Tanhayi se ho gyi h meri dosti...
Tanhayi bhi akele me hogi ye sochati...
na chah kr bhi kyu yad krta hu tujhe .
jbki yad bhi teri rat bhar h mujhe kosti...
Hum to har bat khuda pe chhoddete he
Tute na dil kisi ka isliye apna tod dete he
Hum b insan he patthar to nhi
Fir kyo log hur tufan hmari or mod dete h.
Insan do wajah se
bilkul badal jata hai...!!
.
.
.
Ek Jab Koi bht khaas
us ki zindgi me aa jaye...
.
.
.
Aur jab Koi bht khaas
us ki zindgi se chala jaye... :(
Mere dil ke dard kisne dekhaa hain....
Mujhe bus khuda ne tadapte dekha hain....
Hum tanhayi mein baithe rote hain....
Logo ne hume mahfil mai haste dikha hain....
Gilley hain hazaron ke badle ho kyon tum,
Magar ab karain kyon gillaa ajnabi se,
Azal hai neendain ganwaaney ka silsila,
Yeh acha nahin silsila ajnabi se..
Sanam mera bada dildaar hai,
Use humse bahut pyaar hai,
Kisi aur ki baahon me hokar bhi,
Dil me uske humara naam hai,
Isi ek wajah se iss jahan mein,
BeWafai ke aage Wafa badnaam hai.
Tumhari Ankho Me Koi Hoga, Tumhari
Baton Me Koi Hoga, Tumhare
Dil Me Koi Hoga, Tumhare
Dard Me Koi Hoga, Par Hum Tumhare
Honge Jab Tumhara Na Koi Hoga.
Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha
Main,
Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main,
Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri,
Phir Aaj Kyu Lagaa Sab Khone Laga
Hun Main —
by- BHAVIK PARMAR