Log Peete Hai Gum Ko Bhulane Ke Liye,
Lekin Peene Se Dil Ki Aag Nahi Bujhti,
Hum Peete Hai Aapko Yaad Karne Ke Liye,
Q Ki Nashe Me Aap Bewafa Nahi Lagti...
Ye haqiqat hai ki hota hai asar baton mein
tum bhi khul jaoge do char mulaqaton mein
tum se sadiyonki vafaon ka koi nata na tha
tum se milane ke lakiren thi mere hathon mein
tere vadon ne hamen ghar se nikalne na diya
log mausam ka maza le gaye barasaton mein
ab na suraj na sitare na shaman na chand
apne zakhmon ka ujala hai ghani raton mein
Khan
ada thi unki , diwane ham bane...
bewafai thi unki , bewafa hm bane...
yu to the ham hazaro ki bhid me waha,,
par e-khuda shukriya tera ki unki nazro k nishane ham bane..
Aaj achanak teri yad ne rula diya, Kya karu tune jo humko bhula diya. Na karte hum wafa na milti humko ye saza, Hamari wafa ne aapko bewafa bana diya..
Roothna khafa rehna, yeh wafa nahin hoti,
Chahaton may logon say,kiya khata nahi hoti,
Sub ko aik jaisa kyun tum samjhnay lagtay ho,
Q k sari duniya to bewafa nahi hoti,
Har kisi say yari, har kisi say waaday,
Piyar karnay walon mai, yeh ada nahi hoti,
Be-Naqaab Chehray bhi, ek Hijaab rakhtay hain,
Sirf saat Pardon may to haya nahin hoti,
Sab kuch kho diya tumharay piyar main hum nay,
Kiya yeh bhi Chahat ki Intiha nahin hoti,
Khan
Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye
Mohobbat karne pe majboor ho gaya,
Uske ek ishare pe duniya tabha karne pe majboor ho gaya,
Uske is nazariye ko me pyaar samajh betha,
Isiliye aaj use bewafa kehne pe majboor ho gaya.
Wo sava yaad aaye bhulane ke bad
zindagi badh gai zeher khane ke bad
dil sulagata raha aashiyane ke bad
aag thandi hui ik zamane ke bad
roshni ke liye ghar jalana pada
kaisi zulmat badhi tere jane ke bad
jab na kuch ban pada arz-e-gam ka javab
wo khafa ho gaye muskurane ke bad
dushmanon se pasheman hona pada hai
doston ka khulus aazamane ke bad
Suna karty they jin khush’ion ka haal
Aaj wohi jhonpri’an barbaad ho gaeen
Jab se tery ghum ko basaya hai dil mein
Mushkilain tou boht aain magar aasan ho gaeen
Teri umeed aur tery intezaar k aansu
Boht hasratain mileen magar fanaa ho gaeen
Jab bhi dekha kisi ujerty huay ko ‘Gul’
Ye aahain uth uth k toofan ho gaeen. .