Dil me hai ek Baat zuban pe laun kaise,
Haal is Dil ka duniya ko bataun kaise,
Wo kehta hai Gum hai to tu rota kyu nahi?
Aansu sookh gye ankhon k ro ro kr,
ye baat use samjhaun kaise.?
Koi ilzam Lga Kr To Saza Di Hoti
Phir Meri Lash Sare-Bazar Jala Di Hoti
Itni Nafrat Thi To Piyar Se Dekha Kioun Tha
Mjhe Pehle Hi Meri Okat Bata Di Hoti
Dekh Kar Zakham Mere Ankhain Chura Li Tu ne
Poch Kar Kuch To Zkhmon Ki Dawa Di Hoti
So Jata Main B Chain Se Jana
Tu Ne Agar Shoq Se Aanchal Ki Hawa Di Hoti
Zindagi Apni B Chain Se Guzar Jani Thi
K
Tu Ne Agar Pyar Se Dil Main Jaga Di Hoti.
Dard Sine Me Tha Wo Chehra Niharte Rahe,
Khawb Ankho Me The,
Wo Labo Ko Takte Rahe,
Kya Kahu Us Nadan Ki Ada Ko,
Jakhmi Ham The Or Ansu Wo Bahate Rahe.
paas tumhare ane se dur sabase jate rahe"
"har lamha har pal apane aap ko satate rahe"
"hamesha se hi janate the ki, pyar to tumhe hamise hi tha"
"phir bhi kisi aur ke sath dekh tumhe, apane dil ko jalate rahe"
Tujhe Chaahne Me Ye Umar Beet
Gayi..
Na Chaah Kar Bhi Tujhse Chahat
Badh Gayi..
Chahat Hi Meri Zindagi Hua Karti
Thi.....
Ab Chahat Hi Meri Marne Ki Wajah
Ban Gayi......
Na Poocho Mere Sabr Ki Intha Kaha Tak Hai,
Tu Sitam Kar Teri Takat Jaha Tak Hai,
Mujhe Meri Wafa Ki Ummid Puri Hai,
Mujhe To Ye Dekhna He Ki Tu Bewafa Kaha Tak Hai !!!
Woh To Deewane The Jo Tanha Chhor Gaye
Wo Na Ruk Sake To Ankho Mein Apna Saaya Chhor Gaye
Hume Gham Hai Is Baat Ka
Ke Woh Dil Se Kiya Wada, Hathon Se Tor Gaye…
पलकों को कभी हमने भिगोए ही नहीं,
वो सोचते हैं की हम कभी रोये ही नहीं,
वो पूछते हैं कि ख्वाबो में किसे देखते हो?
और हम हैं की उनकी यादो में सोए ही नहीं!
‘ Hijr Mosam me Ye Baarish ka Barasna kesa,
‘ Ek Sehra Se Samandar ka Guzrna kesa?
‘ Ai Mere Dil na Preshan ho Tanha ho ker,
‘ Wo Tere sath Chala kab tha’ Bichhrna kesa?
‘ Log kehte han Gulshan ki Tabahi dekho,
‘ Mein to Veeran Sa Jungal tha Ujarna kesa?
‘ Dekhne me to koi Dard nhi’ Dukh bhi nhi,
‘ Phir Ye Aankhon me Yun Ashkon ka Ubharna kesa?
‘ Bewafa kehne ki Jurrat bhi na krna UsS ko,
‘ UsS ne Iqrar kiya kab tha’ Mukarna kesa??