Vada to kar lete hai Nibhana Bhul Jate Hain
Laga k Aag Seene Me Bujhana Bhul Jate hain.
Bhulana To Aadat ho gayee hai logo ki sweet
Rulate hai phir manana bhul jate hain.
gamo ki bhidh me jiye baithe hai ...koi dekh to soche piye baithe hai...ae jindagi bhar ke liye chodh ke jane wali...hum to aj bhi teri tasveer apne ankho me liye baithe h
Mere pyar ko duniya mein koi samajh na paya.
rote thay jab tanha koi mere sath na aaya.
mita diya khud ko unke liye pyar mein.
aur wo kehte hai ki mujhe pyar karna na aaya
Sukhe phool ko todane wala koi nahi,
toote dil ko jodane wala koi nahi,
kitana khali hai ye dil sayad koi jaan pata,
Afshos ye hai ine sunne wala koi nahi
Khan
Wo kaha karta tha
Jab
Mein tujhy bhoolunga
To wo din zindagi ka
Akhri din ho ga
Us raat taaray
Na chamkaingy
Us subha
Suraj na
Nikley ga
Wo kaha karta tha
Meri har
Saans se
Tu wabasta hai
Aaj jab us
Ne rasta badla
Tou
Yaad aya
Wo kaha karta tha
ho sakta hai anjane me hamne aapko rula diya....aapne jamane ke kahne pe hame bhula diya..ham to waìse bhi akele the.,kiya hua agar aapne yeh bahsaas dila diya.
bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai
tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani
yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai
Ek din main bhi kafan oadh jaunga
Har rishta is zamane se tod jaunga
Jee chahe jitna sata lo mujhko,
Aey duniya walo...
Ek din rota hua sabko chhod jaunga..
kudrat ki fidrat me agr rat na hoti...
To khawabo mein bhi aap se mulaqat na hoti
har gam ki wajah yah dil hi toh hai.
Yah dil hi na hota toh koi baat na hoti
Dard me koi mausam pyara nahi hota.
Lagi ho pyas to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to hamari bebasi.
Ham sabhi ke ho jate hai per koi hamara nahi hota.
Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana,
Mere jugnu mere mausam wapis kar do,
Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe,
Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do,
Jane waley se bas itna hi kaha tha mene,
Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do,
Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n,
Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do,
Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi,
Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do..