Khelna Seekh Liya Ab Toh Dard Se
Humne;
Jeena Seekh Liya Bewafai Ke Sath Ab
Toh;
Dil Kis Kadar Toota Hai Kya Bataayein
Hum;
Marne Se Pehle Kafan Odhna Sikh
Liya Humne!
Naam uska likh kar mita raha tha main,
Dil ko apne yun bahla raha tha main..!!
Na thi jisko mere pyar ki kadar ae dosto,
Ittefaq se usi ko chah raha tha main..!!
Usi diye ne jala diya mere hatho ko,
Jisko hawa se bacha raha tha main …!!
Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta,
Marne wale ke saath har koi nahi marta,
Are Marne ki baat to door rahi,
Yaha to zindgi hai phir b koi yaad nahi karta…
Wafa ke badle bewafai na diya karo
meri ummid thukra kar inkar na kiya karo
teri mohabat me hum sab kuch kho baithe
jaan chali jayegi imtehan na liya karo
Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain
Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai
Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah
Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai.
Aey mohabbat tere
anjam pe aaj rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam
pe rona aaya,
Yu to har sham umeedo
main guzar jati thi
Aaj kuch baat hai jo
sham pe ronaa aya,
Kabhi takdeer ka matam
kabhi duniya ka gila
Jab ho zikar zamane main
muhabbat ka
Mujh ko apne pagal DIL-e-
nadan par rona aaya...
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
Har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
Apna dil ka dard dil hi me daba ke rakhe hai,
Karta bayan toh Mehfil ko rula dete...
tum milo na milo
milne ka gam nahi
pas se gujar jao
milne se kam nahi
hame maloom hai
tumhe hamari kadar nahi
par jakar puchho unse
jinhe hum hasil nahi!!
Bikhra hai ashiyan mera,
Tu bhi to dekh le,
Teri yadon se sjaya hai jahan tu bhi to dekh le,
Marr marr kr jeene ki aadat bna li hmne,
tu bhi to dekh le,
Meri yadon main rehne wale,
aashiyan mera bikhra hai,
Tu bhi to dekh le...
Tere Intezaar May Chhoda Duniya Ka Sath,
Tere Intezaar May Chhoda Apno Ka Sath,
Jb Tujhey Jana Hi Tha To Kyu Diya Wado Ka Sath,
Rah Gaya Ab Me Bas Apne Gamo K Saath.
saanse bhi chubti hai,
or dil bhi rota hai,
uss bewafaa pe ye deewana aaj bhi marta hai,
duri uski mujhe aaj bhi sataati hai,
uske diye jakhm ke nisaan aaj bhi baaki hai,
Berookhi Ka Teer Khaana Bhi Mera Ek Shaukh Thaa,
Doston Ko Azmaana Bhi Mera Ek Shauk Thaa,
Dard Unka Apne Seene Se Lagaya Isliye,
Ke Chot Khakar Muskraana Bhi Mera Ek Shauk Tha!!!!
Jaane kyu log hame aajmate hai, Kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai, Sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad, Log barish ko bhul jate hai.
Baat umar bhar ki thi, Do pal ki nahin,
Baat sath ki thi, Halaat ki ki nahin,
Jahan ke mailay mein hath chor diya tu ne,
Baat zubaan ki thi, Kismat ki nahin..