Mujhko Rulakar Wo Bhi to Roya Hoga,
Mooh Ashqo Se Usne Bhi to Dhoya
Hoga,
Agar Na Kiya Hai Kuch Hasil Hamne
Pyar Mein,
Kuch Na Kuch Usne Bhi jarur Khoya
To Hoga.
Nazar Nazar Se Mili Toh Sar Ko Jhuka Lega
Arey Wo Bewafa Mera Imtihaan Kya Lega
Ushe Chirag Jalane Ko Na Kaha Kijiye
Wo Nadan Hai Kahi Ungli Jala Lega…
Nanhi larki,
Sahil ke itne nazdeek,
Rait se apna ghar na bana,
Koi sarkash mauj idhar ayi, to
Tere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi,
Aur phir un ki yaad mein tu,
Saari umar udaas rahe gi..
Kitna Ikhtiyar Tha Use Apni Chahat Pe;
Jab Chaha Yad Kiya Jab Chaha Bhula Diya..
Bahut Ache Se Janta Hai Wo Mujhe Behlane K Tarikhe;
Jab Chaha Hasa Diya Jab Chaha Rula Diya...
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
Har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
Apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
.
.
Karte bayan to mehfil ko rula dete
By Hareram
Mein ro’on bhi to meray roney sey kia ho paye ga
Isey to jana hai wo to chala jaye ga
Mein hun khak ka shehzada , wo asman’on ki pari
Hamara male kaha’n ho paye ga
Wo bhool janey ki hidayt to dey rahi hai ‘Gul’ per
Magar ye kambakht dil kaha’n bhol paye ga
Zindagi ek saza si lagne lagi,
Gum ki aandhiyo me is kadar ulajhne lagi,
Galti humari bhi thi ki humne pyar ka izhar nahi kiya,,
Aur wo kisi aur se pyar karne lagi........
Jab Lage Zakhm To Qaatil Ko Duaa Dii Jaaye
Hai Yahii Rasm To Ye Rasm Uthaa Dii Jaaye
Tishnagii Kuchh To Bujhe Tishnaalab-E-Gam Kii
Ik Nadii Dard Ke Shaharon Men Bahaa Dii Jaaye
Dil Kaa Vo Haal Huaa Ai Gam-E-Dauraan Ke Tale
Jaise Ik Laash Chattaanon Men Dabaa Dii Jaaye
Ham Ne Insaanon Ke Dukh Dard Kaa Hal Dhuundh
Liyaa
Kyaa Buraa Hai Jo Ye Afvaa Udaa Dii Jaaye