Dosti To Jeene Ka Sahara Hoti Hai
Us Khuda Ke Hone Ka Ishara Hoti Hai
Yeh Wo Ehsaas Hai Jisko Lafzon Mei Byaan Nahin Kar Sakte
Sailaab-E-Gham-E-Ulfat Mei Yahi To Kinara Hoti Hai..
My Advice -
Dhokha de ke dosti karo lekin
Dosti kar ke dhokha mat dena
Soch Ke Dosti karo
Leking Dosti karke mat Socho,
Dil Dukha ke Dosti karo
Lekin Dosti karne ke baad Dilmat dukhao.
Tere saath baate karte karte waqt yu hi gujar gaya,
Door hokar bhi dost, tera pyar dil ko chhu gaya,
Ji liya he maine un har lamho ko,
Kal ka kya pata tha dekho waqt kaha chala gaya.
Na chupana koi bat Dil me ho agar,
rakna thoda bharosa aap hum par,
hum nibhaege Dosti ka rishta is kadar,
ki bhulane par bhi na bhula paoge hume zindgi bhar.
Phoolo se khushboo churayi nahi jati,
Suraj se roshni chhipayi nahi jati,
Kitni bhi door kyo na ho tum,
Dosti me aap jaisi dost ki dosti bhulayi nahi jati.
Hatho me hai lakiren hazar,
kisi me gum to kisi me khushiyan beshumar,
na jane vo kaun c lakir hai yaar,
Jisme likh diya khuda ne aap jaise Dost ka Pyar
Hum kisiko dost banale fir dilse door nahi karte
Use pyar karne par majbur nahi karte
Akela to wo chaand bhi hai sitaaro ke beech
Lekin sitaaro ko roshni se kabhi door nahi karte
Kuch Ehsason Ke Saye Dil Ko Chu Jate
Hain,
Kuch Manzar Dil Mein Utar Jate Hain,
Bejan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jate
Hain,
Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jate Hain.