Ankho Ke Samne Har Waqt Tumko
Paya Hai..
Dilme Bhi Tumko Hi Basaaya Hai
Tumhare Bina Jiye To Kaise Jiye
Qki
Mann Mandir Me Tumhara Murat
Jo Lagaya Hai..!
Lehro se milkar na wo beh sake na hum.
Ek duje k dil me na wo reh sake na hum.
Jeet lete aasma ek din lekin.
Palko ki khamoshi ko,
honton se na wo keh sake na hum.
Mehfil Na Saahi Tanhaai To Milti Hai..
Milan Na Saahi Judaai To Milti Hai..
Kaun Kehta Hai Pyar Me Kuch Nahi Milta..
Wafa Na Saahi Bewafai To Milti Hai..!
Har Naye Mod Par Shaam Ho
Jaati Hai, Zindagi Pyar Me
Badnaam Ho Jaati Hai, Kaise
Dekhu Main Kal Ke Sapne, Mere
To Har Khushi Poore Hone Se
Pehle Neelam Ho Jaate Hai
Wo Rootha To Har Baar Manaaya Maine..
Ye Farz E Mohabbat Badi Wafa Se Nibhaaya Maine..
Wo Meri Dehleez Par Kabi Aaya Hi Nahi..
Jiske Liye Har Shaam Apne Ghar Ko Sajaaya Maine..!
Hum To Buss Unko Yaad Rakte Hain
Jo Hamein Dil Ke Pass Rakhte Hain
Yaadon ko yaad karke askhoan ne daman thama
mera,
tanhai ki raah guzer mein hawaon ne bhi saaath
choda mera,
bas tera hi chehra har pal aankhon ke samne aata
hai,
jis ek pal ko saari takdeer samaj baitha pagal dil
mera.
Read Must..
Ek Sach Chupa Hota Hai:"Jab Koi Kisi Ko
Kehta Hai Ki
"Mazak Tha Yaar"
.
.
Ek Feeling Chupi Hoti Hai:"Jab Koi Kehta Hai
"Mujhe Koi Farq
Nahi Padta"
.
.
Ek Dard Chupa Hota Hai:"Jab Koi Kehta Hai
"Its Ok"
.
.
Ek Zarurat Chupi Hoti Hai:"Jab Koi Kehta Hai
"Mujhe Akela
Chhod Do"
.
.
Ek Gehri Bat Chupi Hoti Hai:"Jab Koi Kehta Hai
"Pata Nahi"
.
.
Ek Samundar Chupa Hota Hai
Bato Ka:"Jab Koi
"Khamosh Rehta hai'
Hit Like If You Agree ??
Aapki Is Dillagi Me Hum Apna Dil Khoo Bethe..
Kal Tak Us Khuda Ke Thay Aaj Aapke Ho Bethe..
Pyar Suna To Tha Deewana Kar Deta Hai..
Aaj Khud Karke Hum Hosh Khoo Bethe..!
Hamse hoti hain galtiyan to mai samajhta hoon ki mere andar ka shaitan abhi baki hai.
Mujhme hain kuch achchaiyan bhi isliye sochta hoon ki mere andar ka insan abhi baki hai
Aaj tak to thai do-char sayriyan aap logon ki rahon me.
Lekin shah husain ke shayri ki paihchan abhi baki hai.
Sab Honge Yaha Magar Hum Na
Honge..
Hamare Na Hone Se Log Kam Na
Honge..
Aise To Bahut Milenge Pyar Karne
Waale
Hum Jaise Bhi Milenge Magar Wo
Hum Na Honge..!
jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho
ae jan-e-jahan ye koi tum sa hai ke tum ho
ye khwab hai khushbu hai ke jhonka hai ke pal hai
ye dhundh hai badal hai ke saya hai ke tum ho
is did ke saat mein kai rang hain larazan
main hun ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
dekho ye kisi aur ke aankhen hain ke meri
dekhun ye kisi aur ka chehara hai ke tum ho
ye umr-e-gurezan kaheen thahare to ye janun
har sans mein mujh ko ye lagata hai ke tum ho
har bazm mein mauzu-e-sukhan dil zadgan ka
ab kon hai shirin hai ke laila hai ke tum ho
ik dard ka phaila hua sahara hai ke main hun
ik mauj mein aaya hua dariya hai ke tum ho
wo waqt na aaye ke dil-e-zar bhi soche
is shahar mein tanha koi hum sa hai ke tum ho
aabad hum aashufta saron se nahi maqtal
ye rasm abhi shahar mein zinda hai ke tum ho
ae jan-e-’faraz’ itni bhi taufiq kise thi
hum ko gam-e-hasti bhi gavara hai ke tum ho
Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara
Jab kuch sapne adhure reh jate hain? tab dil ke dard aansu ban ke beh jate hain?jo kehte ki hum sirf aap ke hain,,pata nahi kaise alvida keh jate hain...