charag dil ke jalao ki id ka din hai
tarane jhum ke gao ki id ka din hai
gamon ko dil se bhulao ki id ka din hai
khushi se bazm sajao ki id ka din hai
huzur us ke karo ab salamti ke dua
sar-e-namaz jhukao ki id ka din hai
sabhi murad ho purihar ek savali ke
dua ko hath uthao ki id ka din hai
sans lena bhi kaisi aadat hai
jiye jana bhi kya ravayat hai
koi aahat nahi badan mein kaheen
koi saya nahi hai aankhon mein
panv behis hain, chalte jate hain
ik safar hai jo bahata rehta hai
kitne barason se, kitni sadiyon se
jiye jate hain, jiye jate hain
aadaten bhi ajeeb hoti hain
Yuhi aankhon se ansu bahte nahi,
Kisi aur ko hum apna kahte nahi,
Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein,
Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi…
Tujse dosti karne ka hisab naaya,
Mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,
Hum to jagte rahe tere hi khayalo me,
Aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aya. .
Aap ko pa ker ab khona nahi chahtay,
Itna khush ho k ab rona nahi chahtay,
Ye aalam hai hamara aap ki judai mein,
Aankho mein neend hai aur sona nahi chahtay..
WO MERE HAI UNKA NAM KOIAUR NA LE!
IN BHIGTI AAKHON KA JAAMKOI AUR NA LE!
KUCH ISS LIYE BHI MAINE UNKA HATH NAHI CHORA!
WO GIR JAYE TO USE THAAMKOI OR NA LE!
Rat bhar socha par aap na aae
Rat bhar jage par aap na mile
Rat bhar roe par aap asuo me bhi na dikhe
Kya kare E dil ke malik. Kat liya hatha par aap to mere behte hue khon me bhi na dikhe
Bahut hasin hai mera dilruba na ho jaye
meri nazar mai wo kafir khuda na ho jaye
tamam shahar mai meri wafa ke khushbu hai
purana zakhm kisi ka hara na ho jaye
na jane kitane baras bad wo mila hai mujhe
hai dar yahi ki wo phir se juda na ho jaye
main us se tut ke milta hun jab bhi milta hun
ye mera milana kaheen hadasa na ho jaye
Zindagi Mein Har Kisi Ko Pyar Nahi Milta
Samundar Ki Har Lehar Ko Sahil Nahi Milta
Yeh Dilwalo Ki Duniya Hai Mere Yaaro
Koi Dil Se Nahi Milta Toh Kisi Se Dil Nahi Milta
kuch log tot kar chahtay hain,
kuch log chah kar toot jatay hain,
hamain tum se mohabbat hai kitni,
aao aaj tumhein yeh batatay hain,
suna hay pyar mein mushkil nahi kuch bhee,
chalo samandar mein aag lagar kar azmatay hain.
Tut jaye khwab to judne ki aash kya rakhna,
.
palko ke bhigne ka hisab kyarakhna,
.
Bas isliye muskura dete hai hum,
.
Ki apni udasi se kisi ko udas kya rakhna
An Kahi K Lehje May.
Kya Nahi Kaha Hum Ne.
An Suni K Parde May.
Kya Nahi Suna Tum Ne.
Raaz Jo Nahi Khulta,
Jaante Hain Hum Dono.
Dooriyon Se Darrna Kya.
Aah Sard Bharna Kya.
Aysi Rut B Aaye Gi.
Jab K Shakh-E-Farda Par.
Misl-E-Gul Khilen Gay Hum.
Aik Din Milen Gay Hum...
Toote Khwabo Ki Taswir Kab Puri Hoti Hai,
Chand Taro Ke Bich Bhi Doori Hoti Hai,
Dena To Khuda Sab Kuch Chahta Hai,
Par Uski Bhi Shayad Kuch Majburi Hoti Hai.