Har Dil Mein Dard Chupa Hota Hai;
Bayan Karne Ka Andaz Juda Hota Hai;
Kuch Log Ankhon Se Dard Baha Detay
Hain;
Aur Kisi Ki Hansi Mein Bhi Dard Chupa
Hota Hai!
Jab se tu gayi hai dur mujhse,
jee raha hun badi mushkil se,
kabhi hum tanhai se tou kabhi poochhti hai tanhai humse...
akhir milna hai kab apne dilbar se..
Kal Mera Tassvur Tumhare Kaam Na Aayega
Yaad To Rahega Ye Chehra Tumhe
Shayad Fir Hontho Pe Mera Naam Na Aayega
Karenge Jane Kitane Phool Raho Pe Intezar
Tumhara
Fir Kabhi Shayad Un Raho Pe Mera Makam Na
Aayega
Aahaten Meri Sunayi Dengi Tanhayi Ke Galiyaro Me
Tumhe
Dard Hoga Mujhe Aur Tumhe Aaram Na Aayega
Kitabo Me Dabe Phul Chup Rahenge
Kash tu mujh ko mil gayi hoti ,
Aahh nikle gi hont si loon ga ,
Jis tarah ho sake ga jee lon ga ,
Zeher bhi hanste hanste pee loon ga ,
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti ,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti ,
Ab tere gham ko dil mein paloon ga ,
Haan judai ka zakham kha loon ga ,
Maut ko bhi galey laga loon ga ,
Maut bhi aa ke tall gayi hoti ,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti . .
mujhe manzil ne pukara hai mujhe jana hai abhi
meri rahon ne pukara hai mujhe jana hai abhi
mujhe suaq e safar hai yahi chahat meri
meri chahat ne pukara hai mujhe jana hai abhi
Khan...
मैं सुपुर्दे ख़ाक हूँ मुझको जलाना छोड़ दे;
कब्र पर मेरी तु उसके साथ आना छोड़ दे;
हो सके गर तु खुशी के अश्क
पीना सीख ले;
या तु आँखों में अपनी काजल लगाना छोड़ दे।
Jawan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyas to bujha sharab la sharab la
tere shabab par sada karam rahe bahar ka
tujhe lage meri dua sharab la sharab la
yahan koi na jee saka na jee sakega hosh mein
mita de naam hosh ka sharab la sharab la
tera bada hi shukriya pilaye ja pilaye ja
na zikr kar hisab ka sharab la sharab la
Tere qarib rahun ya ki dur jaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chahun main
main janata hun wo rakhta hai chahaten kitni
magar ye baat use kis tarah bataun main
jo chup raha to samajhega badguman mujhe
bura bhala hi sahi kuch to bol aaun main
phir is ke bad ta’alluq mein fasale honge
mujhe sanbhal ke rakhna bichad na jaun main
muhabbaton ke parakh ka yahi to rasta hai
teri talash mein nikalun tujhe na paun main
Itni Jaldi Kya Hai Muje Chhodne Ki..
Abhi To Hadd Baaki Hai Muje Todne Ki..
Mai Khilona Hu Gam Na Kar Mere Tootne Ka..
Mil Jaate Hain Naye Jarurat Nahi Muje Jodne Ki..!
Na Bujha Chiragh-E-Dayaar-E-Dil, Na Bichrne Ka
Tu Malaal Kar,
Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla, Meri Yaad Rakh Le
Sambhal Kar,
Ye Bhi Kya Ke Ek Hi Shakhs Ko Kabhi Sochna,
Kabhi Bhoolna,
Jo Na Bujh Sake Wo Diya Jala, Jo Na Ho Sake Wo
Kamal Kar,
Gham-E-Arzu Meri Justju, Mei Simat Ke Aa Gaya
Ru-Baru,
Ye Sukoot-E-Marg Hai Kis Liye? Mei Jawab Doon
Tu Sawal Kar,