Na Tasveer Tumahare Hai Jo
Deedar Kiya Jaye, Na Tum
Paas Ho Jo Tumhe Pyar Kiya
Jaye, Ye Kon Sa Dard Diya
Hai Aapne, Na Kuch Kha Jaye
Na Tum Bin Raha Jaye....!
Agar Mujhse Pyaar Nahi To
Rote Kiyon Ho.. Tanhayi Me
Mere Bare Me Sochte Kiyon
Ho. Agar Manzil Judaai Hai
To Jaane Do Mujhe Laut Ke
Kab Aauoge Ye Pochhte Kiyon Ho...
Mohabat Ki Kadar Mohbat Se Kia Karte He
Hm Pe Jo Marte H Us K Liye Jia Karte H
Dosti Me Saval Jo Ho Lene Dene Ka To
Hm Kante Rakh Late H Ar Phool Diya Karte He.
Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
Hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
Humse pyar na karna e-zalim
Hum vo dard hain jo ankho se chalakte h.
Bewafa Hai Duniya Kisi Ka Aitebar Na Karo;
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo;
Mit Jao Beshak Tanha Jee Kar;
Par Kisi K Sath Ka Intezar Na Karo..
Darwaje Ki Raakh Bhi Ghar Hai,
Muthi Mein Yeh Ghar Rakhna,
Dil Ek Pavan Chadar Hai,
Sar Par Yeh Chadar Rakhna,
Jali Huyi Tooti Deewarein,
Mere Jakhmi Kandhe Hain,
Aap Raho Khus Sada Yeh Tamanna Hai Hamari,
Chalo Khud Par Humne Yeh Iljaam Le Liya,
Jakham Gham Ruswaiyan Yaar Ne Di Humko,
Aaj Wafa Ka Yaaro Yeh Ilzaam Le Liya….
Woh Badle Is Qadar Ki Hum Hairan
Reh Gaye, Woh Toh Bohut Khush
Hain Or Hum Pareshan Reh
Gaye, Jane Kis Modh Par Ab Meri
Jaan Nikal Jaye, Ab Toh Apne Hi
Jism Mein Hum Mehmaan Reh Gaye.
Hum hava nahi, jo kho jayenge..
Hum WaQt nahi, jo gujar jayenge..
Hum mosam nahi,jo badal jayenge..
Hum to ANSU hai jo gam aur khushi me apke sath rahenge...
Ghar jab bana liya hai tere dar par kahe bagair
janega ab bhi tu na mera ghar kahe bagair
kahate hain, jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan
janun kisi ke dil ki main kyunkar kahe bagair
kam us se aa pada hai ki jisaka jahan mein
leve na koi naam sitamagar kahe bagair
jee mein hi kuch nahi hai hamare vagarna hum
sar jaye ya rahe na rahen par kahe bagair
chodunga main na us but-e-kafir ka pujana
chode na khalq go mujhe kafir kahe bagair
Is Zamane Me Mera Koi Hamdard Nahi
Tu Bhi Na Chahe To Koi Harz Nahi
Kabi Thokar Kabi Ansu Kabhi Ruswayi Mili
Kaise Keh Du Ki Mere Dil Me Koi Dard Nahi.
Mere dil par uska hi asar rehta hai,
Meri baaton mein uska hi jikar rehta hai,
Pata nahi kis janam ka rishta tha hamara,
Jo is dil ko uski hi fikar rehta h.