Ehsaas Bohut Hoga Jab Chhod Ke Jayenge,
Royenge Bohut Magar Aansu Nahi Aayenge,
Jab Saath Na De Koi Toh Awaaz Humein Dena,
Aasmaan Per Bhi Honge Toh Laut Aayenge…
Dard Uthta Hai Magar Aah
Nahi Karty Kon Kehta Hai
Ke Hum Wafa Nahi Karty
Akhir Kyu Nahi Badalti
Taqdeer Meri Kya Mere Dost
Mere Haq Mein Dua Nahi Karte.
Jog bijog ke baten jhuthi sab jee ka bahalana ho
phir bhi hum se jate jate ek gazal sun jana ho
sari duniya aql ke bairi kon yahan par sayana ho
nahaq naam dharen sab hum ko divana divana ho
tum ne to ik rit bana li sun lena sharmana ho
sab ka ek na ek thikana apna kon thikana ho
nagari nagari lakhon dvare har dvare par lakh
sukhi
lekin jab hum bhool chuke hain daman ka phailana
ho
tere ye kya jee mein aayi khainch liye sharma kar
hont
hum ko zeher pilane vali amrit bhi pilavana ho
Kuch Kehta Teri Aankho Se
Phir Socha Chalo Rehne Do
Kuch Door Hi Chala Tha Ki Khyal Aaya Chalo Kehne Ko
Phir Idhar-Udhar Tatola Jo Dil Ke Kone Ko
Kuch Lafz Bune Kuch Hasrate Batori
Kuch…
Magar Phir Khyal Aaya Rehne Do…
Hosh Hai Gum Kya Karein Bhai,
Kon Ab Dukhda Hare Bhai,
Dal Roti Ki Badi Kimmat,
Bhukhe Ab Mare Tab Mare Bhai,
Doudte Doudte Halat Hai Kharab,
Pet Ke Kuven Na Bhare Bhai,
Jinko Mouka Mila Siyasat Ka,
Mulk Ka Khet Woh Charein Bhai,
Chandani Ka Jo Lutf Dete The,
Police Ne Loote Woh Bajre Bhai…
Bhulne k tujhe najaane kitne waade karte hai,
Kaise bhulayun tujhe ye sochkar tujhe yaad karte hai,
Jab b hota hai zikr jamaane me pyar aur wafa ka,
To tumhe bewafa k bahaane yaad karte hai!"
Uske Bin Chup-Chup Rehna Aacha Lagta Hai
Khamoshi Se Ek Dard Ko Sehna Aacha Lagta Hai
Jis Hasti Ki Yaad Mein Aansun Baraste Hai
Samne Uske Kuch Na Kehna Aacha Lagta Hai
Milkar Usse Bichad Na Jaye Darte Rehte Hai
Isliye Bas Dur Hi Rehna Aacha Lagta Hai
Aaj pyaar me baithi har baat alag hogi..
Uski yaad me rone ki baat alag hogi...
Dil janta hai mera vo mujhse pyar nahi karti...
Par uski yaad me marne ki baat alag hogi..
zikr unka hi aata hai fsane main,
jinko jaan se jyada chaha humne jamane me,
tanhaai main unki hi yaado ka sahara mila,
nakaamyab rhe jinko aqsar bhulane main.
Tumhara nam likhnay ki ijazat chin gai jab se
koi b lafz likhta hu to ankhe bheeg jati h
Hazaron mausmon ki hukmarani hae meray dil par
main jab b tanhha hon tou aankhain bheeg jati hai.
Sochte Hain Ke Tujhse Pyar Kar Lein
Apne Pyar Ka Charcha Beshumar Kar Lein
Bas Ek Bar Bana Loon Tere Dil Mein Jagah
Fir Umar Bhar Tere Aane Ka Intezar Kar Lein…
zakhm chup sakate hain lekin mujhe fan ke
saugaundh
gham ke daulat bhi hai shamil mere shahakaron
mein
mujh ko nafarat se nahi pyar se maslub karo
main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein