Bewafa To Woh Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur ko Deti Hai.
Pehle Naam Tha Mera Uske Hothon Par,
Ab Woh Naam Kisi Aur ka Leti Hai.
Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chorne Ka,
Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai
Ek Dil Mere Dil Ko Gehra Zakham De Gaya,
Zindagi Bhar Jeene Ki Kasam De Gaya,
Lakho Phulon Mein Se Phool Chuna Hamne,
Jo Kanto Se Gehri Bhi Chubhan De Gaya.
Ek Toote Dil K Piche Ek Bewafa Chehra Hota Hai
Koi Bhar Na Sake Wo Zakhm Itna Gehra Hota Hai
Ro Ro Kar Sath Chod Deti Hain Saansain Par
Aakhri Saans Tak Intzaar Us Bewafa Ka Hota Hai
Mujh Ko Rula Kar Dil Unka Bhi Roya Hoga,
Chehra Aansuon Se Usne Bhi Bhigoya Hoga,
Kya Hasil Kiya Humne Pyar Mai,
Magar Kuch Toh Zaroor Usne Bhi Khoya Hoga.
badi hasin thi zindgi jb na kisi se mohabbat thi na kisi se nafrat thi
zindgi me ek mod aesa aaya......
mohabbat ek unse hui or nafrat sari duniya se ho gai...
kasamkhan
Bin Unke Zindagi Mein Koi Khusi Nahi,
Wo Nahi To Aaj Labo Par Hansi Nahi,
Na Samjha Wo Agar To Hum Kya Kare,
Iss Dil Me Unke Siwa Kisi Or Ki Jagah Nahi.
मुद्दत से तमन्ना हुई अफसाना न मिला ……
हम खोजते रहे मगर ठिकाना न मिला …………..
लो आज फिर चली गई जिंदगी नजरो के सामने से ……
और उसे कोई रुकने का बहाना न मिला
Ho Sake To Tum Muje Maf Kar Dena
Mere Moqadar Mai Apni Dua Kar Dena
Socho To Bahut Taqlif Di Hai Tmhe
Par Maire Dil Ki Tum Dawa Kar Dena
Mairi Bewafai Ki Yahi Saza Hai Kafi
K Apne Ansooho Ko Mairi Saza Kar Dena
Bewafa Hai Dunia Kisi Ka Aitbaar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo,
Mit Jao Beshaq Tanha Ji Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka Intzaar Na Karo.
Jana Tha Humse Door, Bahane Bana Liye,
Tumne Na Jane, Kitni Door Thikane Bana Liye,
Judai Ke Waqt Jo Aansu Tumne Hume Diye,
Unn Aansuo Ke Humne Fsane Bana Liye.
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar Ke Naam Se,
Bewafai Mili Unke Paigam Se,
Zakhm Hi Zakhm Diya Dua Ke Naam Se,
Dushman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se.
Udaas Shamon Mein Woh Laut Ke Aana Bhool Jata Tha,
Kar Ke Khafaa Mujh Ko Manana Bhool Jata Tha,
Inhi Khaslaton Ne Uski Mujhe Badnam Kar Dala,
Wo Likh Ke Naam Diwaron Pe Mitana Bhool Jata Tha,
Mat Pooch Mohabbat Mein La’parwahi Uski,
De Ke Zakhm Wo Marham Lagana Bhool Jata Tha,
Kitna Dilnashi’n Hota Tha Uski Yaad Ka Manzar,
Wo Jab Bhi Yaad Aata Tha Zamana Bhool Jata Tha.
In Alfazon Se Hum,
Tujhe Ruswa Na Karenge,
Teri Bewafayi Ka Zikr,
Hum Markar Bhi Na Karenge,
Apni Raza Se Hum Gair Bankar,
Chhup Chhup Kar Aahein Bharenge…