Mana Ki Mere Ishq Mein Dard Nahi Tha,
Par Dil Mera Bedard Nahi Tha,
Hoti Thi Meri Aankho Mein Aanshuo Ki Barsaat,
Par Unke Liye Aanshu Or Pani Me Koi Farak Na Tha.
मैं रहा ना मैं तुम रहे न तुम,
क्यूँ हुए अलग गर बेवफ़ा नहीं हम.
है रीत वही, है हर मौसम भी वही ,
क्यूँ रहे ना वो लोग ना रहे वो सनम .
मैं हो रहा बर्बाद ये तकदीर मेरी है,
तू मुझे ना सोचना तुझको मेरी कसम.
लैला मजनूं, हीर राँझा नसीब की बातें हैं,
तुझे मिली डोली मुझे मिला जाम,
मयखाने में आ गए हम, ऐ साकी,
वो मेय पिला वफ़ा हो जिसका नाम.
Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khayal Unka,
Tasveer Se Poochate Hain Phir Haal Unka,
Wo Kabhi Humse Poocha Karte The Judai Kya Hai,
Aaj Samajh Aaya Hai Ye Sawaal Unka.
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar Ke Naam Se,
Bewafai Mili Unke Paigam Se,
Zakhm Hi Zakhm Diya Dua Ke Naam Se,
Dushman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se.
Aap Ne Pyar Sikha Diya Hum Ko,
Dard Ka Putla Bana Diya Hum Ko,
Ye To Bataya Hi Nahi Pyar Me Dil Toot Jata Hai,
Toote Dil Ke Sath Jeena Sikha Diya Hum Ko.
Ashqon Se Nahi Bujhte Shole Dard-E-Pyaar Ke,
Maut Bhali Aise Itne Lambe Intezaar Se,
Marte Hai Roz Ham Bina Dedar-E-Yaar Ke,
Tanhai Acche Thi Uss Bewafa Ke Pyaar Se.
Ye Dil Mera Tha, Tere Dil Mein Dhadkane Ke Liye,
Mera Wajood Tha, Tere Pyar Mein Mehkane Ke Liye,
Kaha Pata Tha Mujhe, Sitamgar Tera Andaaj Ye,
Ye Tera Husn H Sikko Mein Khankane Ke Liye.
Muddat Se Jis K Wastey Dil Beqarar Tha
Wo Lout Kar Na Aaya Magar Intezar Tha
Jo Humsafar Tha Chor Gaya Raah Me Mujhe
Main Phas Gaya Bhanwar Me Or Wo Darya K Paar Tha…
Manzil Qareeb Aayi To Tum Door Ho Gaye
Itna To Tum Batao K Ye Kaisa Pyar Tha…
Ye Baat Umer Bhar Samajh Na Paya Main
Q Dil Mera Us Bewafa Ka Talabgaar Tha.
Yadon Ko Apnay Dil Say Mita Kion Nahi Detay
Jo Ja Chuka Hay Us Ko Bhula Kion Nahi Detay
Tumhay Mujh Say Mohobat Hay Ye Janta Hon Main
Ye Baat Apnay Lab Say Bata Kion Nahi Detay……!!
Tumhen Kuch Farq Nahi Padta
Main Tum Se Rooth Jaon To! Tumhare Pas Na Aaun To,
Phir Tumse Door Jakar Main Kabhi Wapas Na Aaun To,
Tuhmari Yaad Mein Gum Hum Kabhi Aansun Bahaon To,
Tumhen Farq Nahi Padta
Tumhare Pyar Mein Aksar Khud Ko Bhool Jaun To,
Main Teri Deed Mein Tanha Kabhi Khud Ko Mitao To,
Main Tum Se Door Reh Kar Phir Akele Mar Bhi Jaaon To,
Tumhen Farq Nahi Padta.
Ehsaan Kiya Usne Mujhe Pyaar Sikha Kar,
Kya Hoti Hai Chahat Ye Mujh Ko Bata Kar,
Judai Hota Hai Pyaar Ka Asli Matlab,
Chod Diya Mera Saath Bas Itna Batakar.
Hum Blaye Liya Kare Unki Aur Hum Par Blaye We Laye,
Hai Yahi Thik To Kahe Kisse Kya Kare Chain Kis Tarah Paye,
Kis Tarah Rang Mein Range Unko, Aah Ko Kon Dang Shiklaye,
Jo Pasija N Aansuo Se Wo, Kya Kaleja Nikal Dhiklyae.
Ye Haqeeqat Hai Ki Hota Hai Asar Baaton Mein
Tum Bhi Khul Jaaoge Do-Chaar Mulaaqaaton Mein
Tum Se Sadiyon Ki Wafaaon Ka Koi Nata Na Tha
Tum Se Milane Ki Lakeerein Thi Mere Haathon Mein
Pyar Ki Har Rasam Nibhayi Thi Maine,
Tumhe Pane Ke Liye Har Kashti Dubayi Thi Maine,
Tumne Kadar Na Jane Meri Wafaon Ki,
Tumhari Chahat Me Har Khushi Lutayi Thi Maine.