Kyun Ho Khaamosh Kuchh Bataao Na, Iss Tarah Mujhko Ab Sataao Na, Dekho Kitna Haseen Mausam Hai; In Nazaaron Pe Muskuraao Na, Har Ghadi Jiski Hai Nazar Tum Per Ek Nazar Usspe Tum Giraao Na, Bair-O-Nafrat Se Kuchh Nahi Haasil, Daagh Dil Ke Sabhi Mitaao Na, Jaan Deta Hoon; Tum Pe Marta Hoon; Baar-Baar Mujhko Aazmaao Na.
Nazare Mile To Pyar Ho Jata
Hai, Palke Uthe To Izhaar
Ho Jata Hai, Na Jane Kya Kasish
Hai Chahat Main, Ke Koi Anjaan
Bhi Hamari Zindagi Ka
Haqdaar Ho Jata Hai.
Hum is qadar tum per mar-mitain-ge,
Tum jahan dakhoge hum hi tumhain dikhenge,
Rakhna her pal is dil main hamari yaad,
Hamaray bad hamari pyar ki dastan dunia walay likhain gay,
Koi Vada Nahi Phir Bhi Tera
Intezar Hain, Judai Ke Baad
Bhi Tujhse Pyaar Hain, Tere
Chehre Ki Udasi De Rahi Hai
Gawahi, Mujhse Milne Ke Liye
Tu Bhi Bekarar Hain.
इत्तेफ़ाक़ से ही सही मगर मुलाकात हो गयी;
ढूंढ रहे थे हम जिन्हें उन से बात हो गयी;
देखते ही उन को जाने कहाँ खो गए हम;
बस यूँ समझो वहीं से हमारे प्यार की शुरुआत हो गयी।
Phle Wo Meri GF Thi, Mai Bolta Or Wo Sunti Thi.
Fir Wo Meri Mngetr Bni, Wo Bolti Or Mai Sunta Tha.
Ab Wo Meri BV Hai, Ham 2no Bolte Hai
Pura Mohalla Sunta Hai.